25 MUNTAKHAB KALAAM KI SHARAH SHARAHE KALAAME WRITER AL HAFIZ AL QARI MAULANA ROMAN URDU

आकार: px
पृष्ठ पर प्रदर्शन शुरू करें:

Download "25 MUNTAKHAB KALAAM KI SHARAH SHARAHE KALAAME WRITER AL HAFIZ AL QARI MAULANA ROMAN URDU"

प्रतिलिपि

1 25 MUNTAKHAB KALAAM KI SHARAH SHARAHE KALAAME WRITER AL HAFIZ AL QARI MAULANA ROMAN URDU

2 25 MUNTAKHAB KALAAM KI SHARAH SHARAHE KALAAME RAZA WRITER AL HAFIZ AL QARI MAULANA GHULAM HASAN QADRI ROMAN URDU GHULAME ASHRAFUL FUQAHA

3 Title : Az Qalam : Al Hafiz Al Qari Ghulam Hasan Qadri Language : Roman Urdu Topic : Ash aar Composing : Abde Mustafa Official Transliteration : Ghulame Ashraful Fuqaha Published By : Sabiya Virtual Publication Year Of Publishing : January 2022 (Jumadial Oola 1443 Hijri) Pages : 246 All Rights Reserved. Sabiya Virtual Publication Powered by Abde Mustafa Official

4 Important Note Sabiya Virtual Publication Mukhtalaf Zaraaye Se Mausool Shuda Mawaad Ki Isha'at Kar Rahi Hai, Kai Likhne Waale Apna Sarmaya Humein Shaaya (Publish) Karne Ke Liye Irsaal Kar Rahe Hain, Hum Ek Aham Wazahat Bayaan Karna Zaroori Samajhte Hain Ke Humari Shaya Karda Kitabo Aur Risalo Ke Mundarijaat (Contents) Ki Zimmedari Hum Is Hadd Tak Lete Hain Ke Ye Sab Ahle Sunnat Wa Jama'at Se Hai Aur Ye Bilkul Zaahir Bhi Hai Ke Har Likhari Ka Talluq Ahle Sunnat Se Hai Aur Phir Ulama -e- Ahle Sunnat Ki Kitabo Ka Mukhtalaf Zubaano Mein Tarjuma Kiya Ja Raha Hai Jinke Baare Mein Kisi Ko Koi Shak Nahin Hona Chahiye Aur Phir Baat Aati Hai Lafzi Aur Imlayi Waghaira Ghalatiyo Ki To Jo Isha'at Khaas Humari Janib Se Hoti Hai Yaani Wo Kitabein Aur Risale Jo Team Abde Mustafa Official Ki Peshkash Hoti Hain Unki Zimmedari Hum Lete Hain Aur Jo Humein Dusre Zariyo Se Mausool Hota Hai Un Mein Is Tarah Ki Ghalatiyo Ke Hawale Se Hum Bari Hain Ke Wahan Hum Har Har Lafz Ki Chhaan Phatak Nahin Karte Team Abde Mustafa Official Ki Ilmi, Tehqeeqi Aur Islahi Kitabein Aur Risale Kai Marahil Se Guzarne Ke Baad Shaya Hote Hain Lekin Iske

5 Bawajood In Mein Bhi Aisi Ghalatiyo Ka Paaya Jaana Mumkin Hai Lihaza Agar Aap Unhein Paayein To Humein Ittela Farmayein Sabiya Virtual Publication Powered by Abde Mustafa Official

6 Fehrist (1) Peshe Haq Muzda Shafa'at Ka Sunate Jayengey Aap Rote Jayengey Hum Ko Hansaate Jayengey...1 (2) Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale Mera Dil Bhi Chamka De Chamkaane Waale...12 (3) Ne'matien Bant Ta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya Saath Hi Munshi E Rehmat Ka Qalamdaan Gaya...18 (4) Sar Ta Ba Qadam Hai Tane Sultane Zaman Phool Lab Phool Dahan Phool Zaqan Phool Badan Phool...24 (5) Phir Ke Gali Gali Tabha Thokarien Sab Ki Khaaye Kyun Dil Ko Jo Aql De Khuda Teri Gali Se Jaaye Kyun...35 (6) Unki Mehak Ne Dil Ke Ghunche Khila Diya Hain Jis Raah Chal Gaye Hain Kooche Basa Diye Hain...06 (7) Pul Se Utaro Rah Guzar Ko Khabar Na Ho Jibreel Par Bichaaye To Par Ko Khabar Na Ho...55 (8) Wo Su'ey Laalah Zaar Phirte Hain Tere Din Aye Bahaar Phirte Hain...08 (9) Sab Se Aula O Aala Hamara Nabi Sab Se Baala O Waala Hamara Nabi...07

7 (10) Sunte Hain Ki Mehshar Me Sirf Unki Rasaai Hain Gar Unki Rasaai Hai Lo Jab To Ban Aayi Hain...83 (11) Rukh Din Hai Ya Mehr E Sama Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi Shab Zulf Ya Mushk E Khuta Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi...92 (12) Wo Kamaal E Husn E Huzoor Hai Ke Gumaan E Naqs Jahaan Nahi Yahi Phool Khaar Se Door Hai Yahi Shama Hai Ke Dhuwaan Nahi (13) Wasf E Rukh Unka Kiya Karte Hain Sharah E Wash Shams O Dhuha Karte Hain Unki Hum Madh O Sana Karte Hain Jinko Mehmood Kaha Karte Hain (14) Arsh E Haq Hai Masnad E Rifa t Rasool Allah Ki Dekhni Hai Hashr Me Izzat Rasool Allah Ki (15) Sarwar Kahun Ke Malik O Maula Kahun Tujhe Baagh E Khaleel Ka Gul E Zaiba Kahun Tujhe (16) Zarre Jhar Kar Teri Paizaaro n Ke Taj E Sar Bante Hain Saiyyaro n Ke (17) Zameen O Zamaan Tumhare Liye Makeen O Makaan Tumhare Liye

8 Chuneen O Chunaan Tumhare Liye Bane Do Jahaan Tumhare Liye (18) Lam Yaati Nazeeruka Fee Nazarin Mithle To Na Shud Paida Jaana Jag Raaj Ko Taaj Tore Sarso Hai Tujhko Shahe Do Saraa Jaana (19) Utha Do Parda Dikha Do Chehra Ke Noor E Baari Hijaab Me Hai Zamana Tareek Ho Raha Hai Ke Mehr Kab Se Niqaab Me Hai (20) Wah Kya Jood O Karam Hai Shahe Bat ha Tera Nahi Sunta Hi Nahi Maangne Waala Tera (21) Wahi Rab Hai Jisne Tujhko Hamatan Karam Banaya Humien Bheek Maangne Ko Tera Aastaan Bataya Tujhe Hamd Hai Khudaya (22) Hai Kalaam E Ilahi Me Shams O Dhuhaa Tere Chehra E Noor Fiza Ki Qasam Qasam E Shab E Taar Me Raaz Ye Tha Ke Habeeb Ke Zulf E Do Taa Ki Qasam (23) Mujda Baad Aay Aa siyon Shaafi Shah E Abraar Hai

9 Tehniyat Aye Mujrimo Zaat E Khuda Ghaffar Hai (24) Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Bekasi Loot Le Khuda Na Kare (25) Ya Ilahi Har Jagah Teri Ata Ka Saath Ho Jab Pade Mushkil Shahe Mushkil Kusha Ka Saath Ho...239

10 (1) Peshe Haq Muzda Shafa'at Ka Sunate Jayengey Aap Rote Jayengey Hum Ko Hansaate Jayengey 1) Peshe Haq = Allah Ke Saamne 2) Muzda = Khushkhabri 3) Shafa'at = Sifaarish Baroz E Qiyamat Hamare Aaqa ﷺ Khuda Ki Bargah Me Humien Shafa'at Ka Muzda E Jaan Fiza (Khushkhabri) Sunayengey. Dare Huwe Dilo'n Ko Sukoon Aajega Phir Jab Ummat Sooye Jannat Rawaan Hogi To Manzar Ye Hoga Ke Huzoor Khud To Rote Hongey ( Ummat Ke Liye Allah Ki Bargah Me Rona) Aur Ummat Ki Bakshish Ki Khushi Me Hansi Huyi Ummat Jannat Ki Taraf Rawaan Dawaan Hogi. Dil Nikal Jaane Ki Ja Hai Aah Kin Aankho'n Se Woh Hum Se Pyaaso'n Ke Liye Darya Bahate Jayengey 1

11 1) Ja = Jagah 2) Hum Se = Humare Jaise 3) Bahana = Chalana Hamara Kaleja Phat Kyun Nahi Jaata ( Jab Ye Manzoor Tasawwur Me Aaye) Ke Hamare Aaqa ﷺ Hum Jaise Nikammo'n Ke Liye Apni Pyaari Aur Sarmageen Aankhon Se Aansuon Ka Darya Baha Rahe Hongey. Kusthgaane Garmi E Mehshar Ko Wo Jaan E Maseeh Aaj Daaman Ki Hawaa De Kar Jilaate Jayengey 1) Kushtgaane = Maqtool 2) Garmi E Mehshar = Qiyamat Ki Dhoop Aur Garmi 3)Jaan E Maseeh = Hazrath E Isa Alaihissalam Ki Jaan Allah! Allah! Mehshar Ki Qiyamat Ki Garmi Me Jab Jism Jhalas Kar Murda Ho Chuke Hongey Wo Jaan 2

12 E Maseeh, Rehmat E Aalam ﷺ Apne Daaman E Rehmat Ki Hawa De Kar Un Murdo'n Ko Zinda Farma Rahe Hongey, Yaani Shafa'at Farma Kar Us Museebat Se Chuda Rahe Hongey. Gul Khile Ga Aaj Ye Un Ki Naseem E Faiz Se Khoon Rote Aayengey Hum Muskurate Jayengey 1) Naseem E Faiz = Bakhshish Ki Khushbudaar Hawa 2) Khoon Rona = Khoob Gid Gida Kar Rona Jab Aaqa Kareem ﷺ Ke Faiz O Karam Se Thandi O Khushbudaar Hawa Chalegi To Murjaye Huwe Chehre Phool Ki Tarah Khil Jayengey To Hum Gunahgar Maidan E Mehshar Me Aaye To Khauf Ke Maare Rote Rote Ab Jannat Ki Taraf Khoob Khushiyaan Manate Ja Rahe Hain. Haan Chalo Hasrat Zado'n Sunte Hain Wo Din Aaj Hai Thi Khabar Jiski Ke Wo Jalwa Dikhate Jayengey 3

13 1) Hasrat Zada = Mehroom, Gham Ka Maara 2) Jalwa Dikhana = Deedar Karwana Aye Gham Ke Maaro! Aye Be Saharo! Jis Din Ke Baare Me Hum Ne Padha Aur Tum Ne Suna Tha Ke Huzoor ﷺ Ka Deedar Hoga, Chalo! Wo Din Aa Gaya Hai Aur Wo Dekho Mehboob E Khuda Apne Chehre Anwar Se Parda Hatane Aa Rahe Hain. Aaj Eid E Aashiqaan Hain Gar Khuda Chahe Ke Woh Abru E Paywasta Ka Aalam Dikhate Jayengey 1) Eid = Khushi Ka Din 2) Abru E Paywasta = Mile Huwe Bhavien Haan Haan Aaj Hi Aashiqan E Rasool Ki Asal Eid Hai Ke Duniya Me To Bina Dekhe Un Ki Baatien Karte The Aur Sunte The Aaj Zara Apni Aankhon Se Mehboob E Khuda Ke Mile Huwe Bhanwein Mubarak 4

14 Dekho Aur Unki Bargah Me Mohabbat Ke Saath Durood O Salam Ke Nazrane Pesh Karo. Khaak Uftaado'n Bas Unke Aane Hi Ke Dair Hai Khud Woh Gir Ka Sajda Me Tum Ko Utha Te Jayengey 1) Khaak Uftaado'n = Zameen Par Gire Huwe Logon, Majboor Aye Khaak Nasheeno! Ab Tumhien Khaak Se Utha Kar Jannat Ke Baghaat Pahunchane Ka Waqt Aagaya, Bas Unke Aane Hi Ki Dair Hai Ek Sajde Karengey, Khud Sajde Me Tashreef Le Jayengey Aur Tumhien Khaak Se Utha Kar Hamdosh Sara Karengey. Kuch Khabar Bhi Hai Faqeero'n Aaj Wo Din Hai Ke Woh Ne'mat E Khuld Apne Sadqe Me Lutate Jayengey 1) Ne'mat E Khuld = Jannat Ki Ne'mat 5

15 Duniya Me To Aaqa ﷺ Jannat Ki Basharatien Sunate Rahe Lekin Aaj Baroz E Mehshar Apni Ummat Ko Jannat Ki Nemat Taqseem Farmate Huwe Dikhayi Dengey. Wusa'tien Dee Hain Khuda Ne Daaman E Mehboob Ko Jurm Khulte Jayengey Aur Woh Chupate Jayengey 1) Wusa'tien = Kushaadgi, Gunjaishien Sarkar E Madina ﷺ Ke Daaman E Karam Ko Allah Ne Itna Wasee' Farma Diya Hain Ke Hamare Jitne Bhi Jurm Maidan E Mehshar Me Pesh Hongey Sab Us Daaman E Rehmat Me Chup Jayengey. Lo Woh Aaye Muskurate Hum Aseero'n Ki Taraf Khirman E I'siyaan Pe Ab Bijli Giraate Jayengey 1) Lo Woh Aaye = Kisi Ki Achanak Aamad Par Bola Jaata Hai 6

16 2) Aseero'n = Qaidiyon 3) Khirman E I'siyaan = Gunaho'n Ka Dher 4) Bijli Girana = Barbaad Karna Aye Ahle Mehshar! Sab Khade Hojao! Wo ﷺ Kiﷺ Sawari Aagayi Aur Huzoor Dekho Aaqa Apne Gunahgar Ummatiyo'n Ki Taraf Dekh Kar Muskura Rahe Hain Aur Haan Tumhien Apne Gunaho'n Ke Ambaar Nazar Aa Rahe Hain, Us Liye Pareshan Ho? To Phir Khush Hojao Dekho Mere Aaqa Kis Tarah Tumhare Gunaho'n Pe Apne Jamal Ki Bijliyo'n Gira Kar Unko Jala Kar Raakh Kar Rahe Hain. Aankh Kholo Ghamzado'n Dekho Wo Giryaa'n Aaye Hai Loh Dil Se Naqsh E Gham Ke Ab Mitate Jayengey Mushkil Alfaz:- 1) Aankh Kholo = Hosh Me Aajao! 2) Giryaa'n = Rona 3) Loh Dil = Dil Ki Takhti 4) Naqsh = Nishaan 7

17 Aye Mujrimo! Hosh Me Aao! Wo Dekho Hamare Aaqa!ﷺ Allah Ki Bargah Me Ro Ro Kar Tumhare Gunaho'n Ki Nishaan Tak Tumahre Dil Ki Takhti Se Mitaa Rahe Hain. Sokhta Jaano'n Pe Wo Pur Josh E Rehmat Aaye Hain Aab E Kausar Se Lagi Dil Ki Mitate Jayengey 1) Sokhta = Jala Huwa 2) Aab E Kausar = Houz E Kausar Ka Paani Aye Aasiyo'n! Tumhare Dilon Ko Agar Gunaho'n Ki Aag Ne Jala Rakha Hai To Dekhte Nahi Ho Ke Tumhare Aaqa ﷺ Ki Rehmat Ka Darya Bhi Josh Me Aaya Huwa Hai, Wo Houz E Kausar Ke Cheenton Se Tumhare Dilon Ko Lagi Huyi Aag Bhujalengey. Aaftab Unka Hi Chamkega Jab Auron Ke Chiraagh Sar Sar E Josh E Balaa Se Jhilmilate Jayengey 8

18 1) Aaftab = Suraj 2) Sar Sar = Aandhi 3) Jhilmilana = Chiragh Ka Thodi Thodi Roshni Dena Doosre Ambiya Kiram Ki Bhi Roshni Hogi Magar Mehshar Ke Toofan Aalam O Masaib Ke Aandhi Ki Wajah Se Bujhte, Jalte Hongey Lekin Hamare Aaqa ﷺ Ka Suraj Us Waqt Joban Par Hoga. Paaye Kubaan Pul Se Guzrengey Teri Awaaz Par Rabbi Sallim Ki Sada Par Wajd Laate Jayengey 1) Paaye Kubaan = Zor Se Paun Zameer Par Maarte Huwe Pul Sirat Per Guzarna 2) Rabbi Sallim = Aye Allah! Salamati Ke Saath Meri Ummat Ko Guzaar 3) Wajd = Jhoomna Aye Mere Pyaare Aaqa ﷺ Jab Aap Hum Gunahgaron Ke Liye Pul Sirat Se Aasani Ke Saath 9

19 Guzarne Ke Kiye Apne Rab Se Dua Karnegey To Aap Ki Aawaaz Sun Kar Hum Pul Se Zor Zor Se Qadam Maarte Huwe Pul Se Guzar Jayengey. Sarwar E Deen Lijiye Apne Naatwaano Ki Khabar Nafs O Shaitaan Sayyada Kab Tak Dabaate Jayengey 1) Sarwar E Deen = Deen Ke Sardar 2) Naatwaan = Kamzor 3) Sayyada = Aye Sardar Aye Mehboob ﷺ Meherbani Farmaye Aur Humien Nafs O Shaitaan Ke Shar Se Bachaye. Aap Ke Kamzor Ummati Ko Ye Zaalim Kab Tak Apna Taabe'dar Bana Kar Hukm Chalate Rahengey. Hashr Tak Daalenegey Hum Paidaish E Moula Ki Dhoom Misl E Faaras Najd Ke Qile' Giraate Jayengey 10

20 1) Paidaish = Huzoor ﷺ Ka Paida Hona 2) Dhoom = Charcha 3) Faaras = Iran Hum Apne Mehboob E Pak ﷺ Ke Milad Ke Charche Karte Rahengey Aur Ye Silsila Qiyamat Tak Jaari Rahega. Agar Najdi Ko Pasand Nahi Karta To Jahannum Me Jaaye. Jaise Huzoor ﷺ Ke Paidaish Huye Wo Iran Ke Mohallat Me Zalzala Aagaya Usi Tarah Zikr E Milad Karte Rahengey Aur Najdi Qal'on Ko Girate Jayengey. Khaak Ho jayein A'duu Jal Kar Magar Hum To Raza Dam Me Jab Tak Dam Hai Zikr Unka Sunate Jayengey Mushkil Alfaz:- 1) Khaka Hojayien A'duu = Dushman Hasad Ki Aag Me Jal Kar Rakh Hojaye 2) Dam Me Jab Tak Dam Hai = Jab Tak Jism Me Jaan Hai 11

21 Aye Dushmanan E Zikr E ﷺMustafa Tum Jal Kar Rakh Hojao Lekin Hamare Jism Me Jab Tak Jaan Hai Hum Apne Aaqa ﷺ Ka Zikr Karte Hi Rahengey. (2) Chamak Tujhse Paate Hain Sab Paane Waale Mera Dil Bhi Chamka De Chamkaane Waale 1) Chamak = Roshni, Nooraniyat Ya Rasoolallah ﷺ Jo Bhi Zamane Me Chamka Hai Aap Hi Ke Noor Se Chamka Hai Kyun Ki Asl E Kaayenat Aur Wajh E Takhleeq E Kaayenath Aap Hi Hain, To Mere Aaqa ﷺ Mera Dil Bhi Gunaho'n Se Siyah Ho Chuka Hain Is Par Bhi Noor Ki Ek Kiran Daalde Taa Ke Ye Bhi Chamak Jaaye. Barasta Nahi Dekh Kar Abre Rehmat Bado'n Par Bhi Barsaade Barsaane Waale 12

22 1) Barasta = Utarna, Naazil Hona 2) Abre Rehmat = Rehmat Ka Badal 3) Bado'n = Buro'n Aye Mere Aaqa ﷺ Agarche Hamare Aamaal Bohat Bure Sahin Shayad Unhe Dekh Kar Hi Rehmat Ka Badal Hum Par Nahi Barasta To Aye Pyaare Nabi ﷺ Aap Meherbaani Farmaye Aur Rehmat Ka Badal Ko Hukm Dein Ke Hum Par Bhi Barse. Madine Ki Khitte Khuda Tujhko Rakkhe Ghareebo Faqeero'n Ke Tehraane Waale 1) Khitte = Tukde Aye Hamare Aaqa ﷺ Ke Madine! Khuda Ta'ala Tujhe Salamat Ta Qiyamat Rakhe Ke Hum Jaise Ghareebo Faqeero'n Ko Tu Apna Thikana Ata Karne Wala Hain. 13

23 Tu Zinda Hai Wallah Tu Zinda Hai Wallah Mere Chashme Aalam Se Chhup Jaane Waale 1) Wallah = Allah Ki Qasam 2) Chashme Aalam = Zaahiri Nazar Ya Rasoolallah ﷺ! Allah Ki Qasam Aap Zinda Hain Aur Hamari Zaahiri Nazar Se Poshida Hain. Main Mujrim Hoon Aaqa Mujhe Saath Lelo Ki Raaste Me Hain Ja Ba Ja Thaane Waale 1) Mujrim = Gunhagar 2) Raaste = Raasta 3) Ja Ba Ja = Har Jagah 4) Thaane Waale = Thanvi Ke Maanne Waale, Chowk Police Waale Yaani Allah Ke Firishtey Main Mujrim O Qusoorwaar Hoon Aur Mujrimo'n Ke Peeche Har Waqt Police Waale Lage 14

24 Rehte Hain Usi Tarah Mere Peeche Allah Ke Firishtey Lage Huwe Hain Mujhe Apni Panah Dijiye. Haram Ki Zameen Aur Qadam Rakh Ke Chalna Are Sar Ka Mauqa Hai O Jaane Waale 1) Haram = Makka O Madina 2) Are = Nida Ke Liye Pukarna 3) Mauqa = Jaga Harmain Shareefain Ki Sarzameen To Itni Muqaddas Hain Ke Bas Chale To Is Par Qadam Rakh Kar Chalne Ki Bajaye Sar Ke Bal Chala Jaaye. Chal Uth Jabah Farsa Ho Saaqi Ke Dar Per Dar E Jood Aye Mere Mastaane Waale Mushkil Alfaz:- 1) Jabah Farsa = Peshani Ragadne Waala 2) Saaqi = Pilane Waale 3) Jood = Sakhawat 15

25 4) Mastaane Waale = Ishq E Rasool ﷺ Me Mast Rahne Waale Aye Mere Aaqa ﷺ Ka Ishq Dil Me Rakhne Waale! Chal Ja Sarkar Ki Bargah Me Dar E Rehmat Khul Gaya Hai Aur Saaqi E Kausar Ka Faiz Jaari O Saari Hai, Wahan Ja Kar Maatha Ragad Yaani Saare Adab Bajaa La. Ya Matlab Ye Hain Ke Allah Ki Bargah Me Sajda Shukrane Ke Nawafil Ada Kar Kyun Ke Us Ne Tujhe Dar E Mustafa ﷺ Ki Haazri Se Nawaza Aur Phir Sarkar Ki Bargha Me Aakar Qadmon Me Gir Kar Faiz Maanga. Tera Khaaye Tere Ghulamo'n Se Uljhe Hain Munkir Ajab Khaane Ghurraane Waale 1) Uljhein = Jhagdna 2) Munkir Ajab = Ajeeb Inkari 3) Ghurrana = Bila Waja Gusse Me Shor Karna Aye Mere Aaqa!ﷺ Ye Aap Ki Azmat Ke Munkireen Bhi Ajeeb Nasl Ke Log Hain Ke 16

26 Aap Ka Sadqa Khaate Hain Aur Aap Ke Hi Ghulamo'n Se Ulajhte Hain. Rahega Yunhi Unka Charcha Rahega Pade Khaak Hojaaye Jal Jaane Waale 1) Charcha = Shor, Dhoom, Zikr 2) Khaak Hojaaye = Mar Jaayien Aye Munkiron Tum Sarkar Ka Zikr Sun Kar Jalo Ya Jal Jal Kar Maro Kyun Ke Huzoor ﷺ Ki Azmat Ke Danke Bajte Hi Rahengey. Ab Aayi Shafa'at Ki Saa'at Ab Aayi Zara Chain Le Mere Ghabraane Waale 1) Saa'at = Ghadi, Waqt 2) Chain = Aaram Aye Mere Dil! Kyun Ghabraate Ho Abhi Tumhari Shafa'at Ki Baari Ab Aane Hi Waali Hai. 17

27 Raza Nafs Dushman Hai Dam Me Na Aana Kahan Tumne Dekhe Hain Chandraane Waale 1) Dam Me = Dhoke Me 2) Chandraane Waale = Jhutlana Aye Ahmed Raza! Nafs Ke Dhoke Aur Fareb Me Na Aana Tu Ne Abhi Behkane Waale Aur Phislaane Waale Dekhe Hi Kahan Hai Aur Tu Kya Jaane Ke Wo Kis Tarah Tere Imaan Par Hamla Aawar Hokar Tera Kitna Nuqsaan Kar Jaate Hain. (3) Ne'matien Bant Ta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya Saath Hi Munshi E Rehmat Ka Qalamdaan Gaya 1) Ne'matien = Ataayien' Bakshishien 2) Bant Ta = Taqseem Karta 3) Zeeshan = Izzat O Shaan Wala 18

28 4) Munshi E Rehmat = Rehmat Ka Paida Karne Waala ( Allah Ta'ala) 5) Qalamdan = Qalam Daawat Ka Dabba Hamare Azmat O Shaan Waale Aaqa ﷺ Jis Taraf Bhi Chal Pade Rehmat Ka Likhne Waala Farishta Bhi Apna Qalam Dan Le Kar Aap Ke Saath Ho Liya, Ke Kya Maloom Achansk Kis Ke Liye Kya Rehmat Likhne Ka Hukm Ajaaye. Le Khabar Jald Ke Ghairon Ki Taraf Dhyaan Gaya Mere Moula Mere Aaqa Tere Qurbaan Gaya 1) Le Khabar = Madad Kar 2) Ghair = Begana 3) Tere Qurbaan = Tere Sadqe Aye Mere Dastageer Aaqa ﷺ Meri Madad Jaldi Farmaye Kyun Ke Mera Nafs Mujhe Ghalat Raaste Par Na Daal De Aur Mujhe Barbaad Na Karde. 19

29 Aah Woh Aankh Ke Nakaam E Tamanna Hi Rahi Haaye Wo Dil Jo Tere Dar Se Pur Armaan Gaya Mushkil Alfaz:- 1) Aah = Haaye 2) Nakaam Tamanna = Jiski Tamanna Poori Na Ho Sake 3) Pur Armaan = Tamannao'n Aur Armaano'n Se Bhara Huwa Haaye! Afsos Meri Aankh Aap Ke Deedar Ki Tamanna Se Poori Tarah Lutf Andaaz Bhi Na Ho Saki Aur Mere Dil Ke Armaan Bhi Abhi Poore Na Huwe Ke Waapsi Bhi Hogyi. Dil Hai Wo Dil Jo Teri Yaad Se Ma'moor Raha Sar Hai Wo Sar Jo Tere Qadmo'n Pe Qurbaan Gaya 1) Ma'moor = Abaad 2) Qurbaan = Nisaar 20

30 Dil Wahi Hai Jo Pyare Mehboob ﷺ Ki Yaad Me Basi Rahe Aur Sar Wahi Hai Jo Aaqa ﷺ Qadmo'n Pe Qurbaan Hone Ke Jazbaat Apne Andar Rakhta Ho. Unhien Jaana Unhien Maana Na Rakkha Ghair Se Kaam Lillahil Hamd Me Duniya Se Musalmaan Gaya Hum To Sirf Huzoor ﷺ Ko Hi Jaante Hain Aur Maante Hain Humien Ghair Se Kya Kaam Alhamdulillah Isi Aqeede Par Qayim Rah Kar Duniya Se Musalmaam Hokar Ja Raha Hoon. Aur Tum Par Mere Aaqa Ki Inaayat Na Sahi Najdiyo'n Kalma Padhane Ka Bhi Ehsaan Gaya 1) Inayath = Karam 2) Najdiyo'n = Ibn E Abdul Wahab Najdi Ke Pairokaro, Huzoor ﷺ Ki Shaan Ke Munkiro'n Aye Shaan E Risalat Ke Munkir Najdiyo'n Chalo Maan Liya Ke Mere Sarkar Ne Tumhare Upar 21

31 Koi Ehsan Nahi Farmaya Lekin Ye Jo Kalma Padh Rahe Hi Ye To Tum Bhi Jaante Ho Huzoor ﷺ Ne Diya Hai. Aaj Le Unki Panah Aaj Madad Maang Unse Phir Na Maanengey Qiyamat Me Agar Maan Gaya 1) Panah = Sahara Aye Munkir! Agar Qiyamat Me Khuda Ke Azaab Se Bachna Chahte Ho To Aajao Aaj Hi Unke Daaman E Karam Me Panah Lo Aur Agar Aaj Panah Na Li Aur Apne Gande Aqeede Se Tauba Na Ki To Kal Apni Aankhon Ke Saamne Maidan E Mehshar Me Huzoor ﷺ Ki Shaan O Azmath Jab Dekhogey To Phir Zaroor Maan Jaogey Lekin Wo Maan Na Kaam Na Aayega. Uff Re Munkir Ye Bada Josh E Ta'ssub Aakhir Bheed Me Haath Se Kam Bakht Ke Emaan Gaya 1) Uff = Afsos Ka Kalma 22

32 2) Ta'ssub = Be Ja Kisi Ki Tarafdaari 3) Bheed = Hujoom 4) Kam Bakht = Bad Naseeb Aye Munkir Ye Bada Josh Ka Dusro Ki Taraf Daari Kar Raha Hai Aur Gustakhiyaan Kar Raha Hain, Afsos Ke Is Bheed Me Is Badbakht Ka Usi Ke Haath Se Emaan Chala Gaya. Jaan O Dil Hosh O Khirad Sab To Madine Pahunche Tum Ne Nahi Chalte Raza Saara To Saaman Gaya 1) Khirad = Aqal 2) Saara Saaman = Sab Kuch Aye Raza! Tu Bhi Ajeeb Tarah Ka Aadmi Hai Ke Teri Rooh, Teri Jaan, Tera Dil To Tasawwur E Taib Ki Wajah Se Madina Pahunch Gaya Aur Tu Yahan Baitha Hain. 23

33 (4) Sar Ta Ba Qadam Hai Tane Sultane Zaman Phool Lab Phool Dahan Phool Zaqan Phool Badan Phool 1) Sar Ta Ba Qadam = Sar Se Lekar Paun Tk 2) Tan = Jism 3) Sultan E Zaman = Zamana Ka Badshah 4)Lab = Hont 5) Dahan = Munh 6) Zaqan = Thuddi 7) Badan = Jism Tajdaar E Zamana ﷺ Sar E Anwar Se Lekar Qadam Tak Phool ( Latafat Waale) Hain, Hont, Munh, Thuddi, Aur Saara Jism Goya Phool Hain. Sadqe Me Tere Bagh To Kya Laaye Ban Phool Is Ghuncha E Dil Ko Bhi Emaa Ho Ke Ban Phool Ban = Jangal Aur Usme Khud Ro Darakht Ban 2 = Banna Se Hain Yaani Hoja 24

34 Emaa = Ishara Huzoor ﷺ Aap Ke Tufail Sirf Baaghon Me Hi Phool Nahi Khile Balke Jangal Ke Khud Ro Darakhto Par Bhi Bahaar Aayi Hai Aur Un Pe Bhi Phool Khile Hain. Nigah E Karam Farmaye Aur Mere Dil Ki Kali Ko Bhi Apni Mohabbat Me Phool Bana Dijiye. Tinka Bhi Humare To Hilaaye Nahi Hilta Tum Chaho To Ho Jaaye Abhi Kohe Mihan Phool 1) Tinka = Mamooli Cheez 2) Koh = Pahad 3) Mihan = Ranj O Alam Hum Ek Tink Bhi Hilanae Ki Taqat Nahi Rakhte Aur Mere Aaqa ﷺ Agar Chahe To Ghamon Ke Pahad Bhi Phoolon Ki Tarah Narm O Nazuk Hojaaye. Wallah Jo Mal Jaaye Mere Gul Ka Paseena Mange Na Kabhi Itr Na Phir Chahe Dulhan Phool 25

35 1) Wallah = Allah Ki Qasam 2) Mere Gul = Mere Mehboob Khuda Ki Qasam Agar Shaadi Ke Waqt Kisi Dulhan Ko Huzoor ﷺ Ka Paseena Mal Jaaye To Wo Kabhi Kisi Khushboo Ki Talab O Khwaish Na Rakhe Aur Na Hi Kisi Phool Ki Talash Kare. Dil Basta O Khoon Gashta Na Khusboo Na Lataafat Kyun Ghuncha Kahun Hain Mere Aaqa Ka Dahan Phool Basta = Bandha Huwa Gashta = Hona Lataafat = Narmi, Khoobi Hamare Aaqa ﷺ Dahan Mubarak Ghuncha Nahi Kyun Ke Ghuncha To Band Hota Hai Aur Huzoor ﷺ Se Har Waqt Phool Jhadte Rehte Hain. 26

36 Shab Yaad Thi Kin Daanto'n Ki Shabnam Ke Dam E Subah Shokhan E Bahaari Ke Juraoo Hain Kiran Phool Dam E Subah = Subah Ke Waqt Shokhan E Bahaari = Phoolon Ka Nikalne Ka Mausam Jab Wo Nikalte Hain Kiran = Suraj Ki Kiran Jin Daanto'n Ko Raat Ki Tanhaai Me Yaad Kar Raha Tha To Aise Lagta Tha Ke Shabnam Hai Jo Ba Waqt E Subah Suraj Ki Kiran Padhne Se Chamak Rahi Thi. Hazrath E Ali Farmate Hain Huzoor ﷺ Ke Daant Mubarak Nihaayat Hi Chamakdaar The. Dandaan O Lab O Zulf O Rukh E Shah Ke Fidaayi Hain Durr E A'dan, La'al E Yaman,Mushk E Khutan Phool Dandaan = Daant 27

37 Shah = Baadshah Yaani Huzoor ﷺ Fidaayi = Aashiq Durr E A'dan = Adan Ke Mo'ti La'al E Yaman = Yaman Ke Surkh La'al Mushk E Khutan = Khalis Kastoori Hamare Aaqa ﷺ Wo Hain Ke Jinke Dandaan E Mubarak Pe Adan Ke Moti Nisaar, Labhaaye Mubarak Pe Surkh Rang Ke Heere Qurbaan, Zulf E Muambar Par Kastoori Fida Aur Chehra E Munawwar Par Phool Jaan Chidakte Hain. Boo Ho Ke Nihaan Hogaye Taab E Rukh E Shah Me Lo Ban Gaye Hain Ab To Haseeno Ke Dahan Phool Boo = Mehak Nihaan = Posheeda Taab = Chamak Dahan = Munh Hamare Aaqa ﷺ Ki Bargh Me Tamam Haseenane Aalam Ke Husn O Jamal Gum 28

38 Hokar Rah Gaye Aur Unke Dahan Munh Jo Apni Jagah Phool Ki Tarah Mehak Rahe The Jab Mehboob E Khuda Ka Noorani Chehre Ke Saamne Aaye To Mehak Ke Bajaye Garam Hawa Lo Ka Manzar Pesh Karte Dikhaayi Dene Lage. Ho n Baar E Gunah Se Na Khajal Dosh E Azeezaan Lillah Meri Na'ash Kar Aye Jaan E Chaman Phool Baar = Bojh Khajal = Sharminda Dosh = Kandha Azeezaan = Rishtedaar Lillah = Allah Ke Liye Na'ash = Murda Jism Jaan E Chaman = Baagh Ki Rooh Aye Mere Pyare Nabi ﷺ Karam Farma Kar Meri Laash Ko Phoolon Ki Tarah Halka Phalka Kardijiye Ke Mere Rishtedaar Meri Laash Utha Kar Thak Na Jaayien Aur Wazni Laash Ko Mere Gunahon Par Mehmool Kar Ke Sharminda Na Hote Phire. 29

39 Dil Apna Bhi Shaidaayi Hai Us Naakhun E Paa Ka Itna Bhi Mah E Nau Pe Na Aye Charkh E Kohan Phool Shaidaayi = Fidaayi Mah E Nau = Ibtedaayi Dino Ka Chand Charkh E Kohan = Budha Aasmaan Phool Aakhri = Phoolna Aye Budhe Aasmaan Jab Tere Upar Naya Chanad Nikalta Hai To Tu Itrata Hai Aur Phoole Nahi Samata, To Dekhta Nahi Ke Mere Mehboob ﷺ Ke Paun Mubarak Ki Ungli Ka Ek Naakhun Tere Chand Se Zyada Apne Andar Kashish Rakhta Hai. Dil Khol Ke Khoon Ro Le Gham E Aariz E Shah Me Nikle To Kahin Hasrat E Khoon Na Ba Shadan Phool Dil Khol Ke Khoon Role = Poori Hasrat Nikal 30

40 Gham E Aariz = Aane Waala Gham Hasrat = Afsos Khoon Na Ba = Aansoo Shadan = Hona Aye Mere Aankho! Anqareeb Tumhien Madine Ki Baharien Chod Kar Yahan Se Chala Jaan Hai To Aane Waali Judaayi Par Abhi Khoon Ke Aanso Ro Lo Taa Ke Ye Khooni Aansoo Phool Ban Kar Tumhare Dil Ki Hasrat Ko Poora Aur Judaayi Ke Gham Ko Halka Karde. Kya Ghaazah Mila Gard E Madina Ka Jo Hay Aaj Nikhre Huye Joban Me Qiyamat Ki Phaban Phool Ghaazah = Khusboodar Powder Gard = Ghubaar, Mitthi Nikhre Huye = Saaf Suthre Joban = Jawani Ki Talash Phaban = Khoobsurti Aye Phoolon! Aaj Tumhara Husn Itne Shabab Par Kyun Nazar Aa Rahi Hai? Kya 31

41 Tumhien Aaj Ghubar E Madina Haath Nahi Aa Gaya Jis Ko Tum Ne Chehro Par Bataur E Powder Ke Mal Liya Hain. Garmi E Qiyamat Hai Ke Kaante Hai Badan Par Bulbul Ko Bhi Aye Saaqi Sehba O Laban Phool Saaqi = Pilaane Waala Sehba = Safed Angoor Ki Surkh Sharab Laban = Doodh Qiyamat Ki Garmi Se Jab Zabaanien Sukh Kar Kaanto Ki Tarah Hojayengey To Aye Mere Saaqi! Apne Ghulamo Ko Jaam E Kausar Pilaa Kar Hamari Pyaas Bhujayiye. Hain Kon Ke Girya Kare Ya Fatiha Ko Aaye Bekas Ko Uthaaye Teri Rehmat Ke Bharan Phool Girya = Rona Fatiha = Esal E Sawab 32

42 Be Kas = Mohtaj Bharan = Tez Baarish Kon Hai Jo Mujh Ghareeb Ki Qabr Par Aa Kar Royega Aur Kuch Padh Kar Esal E Sawab Kare Ga Kaash! Ke Aye Mere Aaqa Aap Ka Koi Ghulam Aap Ke Rehmat Ka Zikr Kare Aur Aap Ki Rehmat Ki Tez Baarish Phool Ban Kar Mere Gunaho Ka Khatima Karde. Dil Gham Tujhe Ghere Hain Khuda Tujhko Wo Chamaakye Suraj Tere Khirman Ko Bane Teri Kiran Phool Ghere Hain = Ihata Kiye Huwe Hain Khirman = Dher Aye Mere Dukhi Dil Tujhe Gham Ne Kis Qadar Ghera Hai Khuda Kare Tujhe Wasl E Mehboob Ke Noor Ki Ek Chamak Mil Jaaye Madina Ki Haazri Naseeb Hojaaye Agarche Kuch Lamho Ke Liye 33

43 Ziyarat E Mustafa ﷺ Hojaaye Agarcha Khwaab Me Hi Sahi To Tere Dil Se Noor Ke Aise Chashme Phootengey Ke Suraj Bhi Un Nooro'n Ki Kiran Nazar Aayega. Kya Baat Raza Us Chamanistan E Karam Ki Zahra Hai Kali Jis Me Hussain Aur Hasan Phool Chamanistan = Baagh Aye Raza Us Baagh Ki Kya Baat Hai Jis Bagh E Risalat Ki Kali Sayyada Fatima Hai Aur Hasan Aur Hussain Us Baagh Ke Mehakte Huwe Phool Hain. 34

44 (5) Phir Ke Gali Gali Tabha Thokarien Sab Ki Khaaye Kyun Dil Ko Jo Aql De Khuda Teri Gali Se Jaaye Kyun Tabah = Weeran Sab Ki = Tamam Logon Ki Duniyavi Mohabbaton Me Mubtila Hokar Hum Gali Gali Zaleel Hote Kyun Phirein Allah Ta'ala Hamare Dil Ko Agar Aqal Ata Karde To Habeeb E Khuda ﷺ Ki Gali Me Aisa Dera Lagaaye Phir Wahan Se Janaza Hi Uthe. Rukhsat E Qafila Ka Shor Ghash Se Humien Uthaaye Kyun Sote Hain Unke Saaye Me Koi Humein Jagaaye Kyun Rukhsat = Rawangi Qafila = Musafiron Ka Giroh, Group 35

45 Ghash = Be Hoshi Saaye = Panah Qafila Ki Madina E Munawwara Se Rawangi Ka Shor O Ghul Hamari Sukoon Ki Neend Me Khalal Andaaz Kyun Kar Ho Sakta Hai Kyun Ke Hum To Mehboob Ke Dar Par Unke Saaye Me Panah Le Kar Chain Ki Neend So Rahe Hai. Baar Na The Habeeb Ko Paalte Hi Ghareeb Ko Royien Jo Ab Naseeb Ko Chain Kaho Ganwaaye Kyun Baar = Bojh Ghareeb = Kangaal, Pardesi Chain = Aaram Hamare Aaqa O Maula ﷺ To Ghareeb Parwar Wa Banda Nawaz Hai Agar Hum Apni Qismat Ki Wajah Se Saari Zindagi Madina Shareef Me Nahi Guzaar Sakte Aur Waapis Aa Kar Madina Chod Kar 36

46 Be Sukoon Ki Zindagi Guzar Rahe Hain To Iska Matlab Ye Nahi Ke Hum ﷺHuzoor Par Bojh Bane Huwe The Aur Unho Ne Humien Wahan Se Nikal Diya. Yaad E Huzoor Ki Qasam Ghaflat E A'ish Hai Sitam Khoob Hai Qaid E Gham Me Hum Koi Humien Churraaye Kyun Ghaflat = La Parwahi Aish = Aaram O Sukoon Sitam = Zulm Khoob = Accha Qaid = Giraftaar Churraaye = Azaad Karaye Aye Hamare Pyaare Aaqa ﷺ Apni Ummat Ko Yaad Karke Jo Aap Khoob Roya Karte The Aur Un Ki Bakhshish Ke Liye Allah Se Duaien Maanga Karte The Us Yaadgari E Ummat Ki Qasam! Humien Aap Ko Yaad Karte Rehna Chahiye Wisal Ki Khushi Me 37

47 Chahe Judaayi Ki Tadap Me Isi Me Sukoon Hai Agar Koi Is Ko Qaid Samajhta Hai To Hum Ye Qaidi Hi Acche Hain Kisi Se Is Se Azaadi Nahi Maangte. Jab Ke Aap Ke Yaad Se Ghafil Hojana Zulm Se Kam Nahi Ke Ummati Hokar Apne Nabi Se Ghafil Hojaaye. Dekh Ke Hazrath E Ghani Phail Pade Faqeer Bhi Chaayi Hai Ab To Chaaoni Hashr Hi Aa Na Jaaye Kyun Hazrath = Buzurg Ghani = Maaldar Chaaoni = Chatri Huzoor ﷺ Ka Jood O Sakhawat Dekh Kar Maangne Waale Is Tarah Aap Ki Baragah E Aqdas Me Jama Hogaye Ke Aisa Lagta Hai Jaise Inhone Yahan Dere Bhicha Liye Hain Aur Qiyamat Bhi Aajaye To Yahan Se Uthne Ka Naam Nahi Lengey. Jaan Hai Ishq E Mustafa Roz Fazoo Kare Khuda Jisko Ho Dard Ka Maza Naaz E Dawa Uthaaye Kyun 38

48 Fazoo = Zyaada Dard = Takleef Naaz E Dawa = Ilaj Ka Nakhra Aaqa E Do Jahaan ﷺ Ki Mohabbat Hamari Jaan Hai, Allah Ta'ala Is Me Barkat Paida Farmaye Baaqi Raha Unki Mohabbat Me Rona Aur Aanso Bahana Ye Aisa Dard Hai Ke Jiska Hum Ilaj Karna Hi Nahi Chahte Kyun Ke Jis Ko Dard Me Maza Aagaya Wo Ilaja Kyun Karega. Hum To Hain Aap Dil Figaar Gham Me Hansi Hi Na Gawaar Ched Ke Gul Ko Nau Bahaar Khoon Humein Rulaaye Kyun Aap = Khud Hi Dil Figaar = Zakhmi Dil Na Gawar = Na Munasib Nau Bahar = Mausam E Bahar 39

49 Aye Mausam E Bahaar! Hum To Pehle Hi Apne Mehboob Ke Hijr O Firaq Me Dil Zakhmi Kiye Baithe Hai Aur Ghamgheen Ki Halat Me Bhala Hansi Koi Accha Lagta Hain? Lihaza Phoolon Ko Ched Kar Hamare Gham Me Mazeed Izafa Kar Ke Humien Khoon Ke Aansoo Na Rula. Yaa To Yunhi Tadap Ke Jaayien Ya Wahi Daam Se Churaayien Minnat E Ghair Kyun Uthayien Koi Taras Jataaye Kyun Tadap = Bechain Daam = Jaal Taras = Hamdardi Jatana = Zaahir Karna Jis Qaid ( Hijr O Firaq E Rasool (ﷺ Me Hum Phans Chuke Hain Is Se Rihaayi Ki Ilteja Auron Se Karke Hum Kyun Kar Uska Ehsan Apne Sar Par Le Aur Na Hi Hamare Saath Hamdardi Karne Ki Zaroorat 40

50 Nahi Bas Wahi Hamare Aaqa Humien Churaayengey Jalwa Dikhaayengey To Hijr Ke Qaid Se Rihaayi Paayengey Warna Is Qaid Me Tadap Kar Unke Liye Jaan Qurban Kardengey. Unke Jalal Ka Asar Dil Se Lagaye Hain Qamar Jo Ke Ho Laut Zakhm Par Daagh E Jigar Mitaaye Kyun Jalal = Shaan O Shaukat Qamar = Chand Laut = Shaidaayi Daagh = Nishaan Chand Pe Siyah Kaala Dhabba Mere Aaqa ﷺ Ke Ro'ab O Jalal Ka Nishaan Hai Lekin Wo Is Ko Mitaana Nahi Chahta Kyun Ke Jis Ko Ishq E Rasool Me Zakhm Kha Kar Maza Aaye Wo Un Zakhmo Ka Ilaaj Kyun Kare. Khush Rahe Gul Pe Andaleeb Khaare Haram Mujhe Naseeb Meri Balaa Bhi Zikr Per Phool Ke Khaar Khaaye Kyun 41

51 Andaleeb = Bulbul Khaare Haram = Madine Ka Kaanta Balaa = Museebat Phool = Phoolna Yaani Takabbur Karna Aye Bulbul Tujhe Phool Mubarak Ho Aur Mujhe Tere Upar Na Rashk Aata Hai Na Mai Tujh Pe Hasad Karta Hoon Is Liye Ke Agar Tujhe Kisi Baagh Ka Phool Naseeb Hai Mujhe To Madina Ka Kaanta Milgaya Hai Aur Madine Ka Ek Kaanta Tere Hazaar Phoolon Se Afzal Hai Kyun Ke Wo Shehr E Mehboob Ka Kaanta Hai Aur Waise Bhi Gulo'n Se Khaar Behtar Hai Jo Daaman Thaam Lete Hain. Gard E Malaal Agar Dhule Dil Ki Kali Agar Khile Barq Se Aankh Kyun Jale Rone Pe Muskuraaye Kyun Gard E Malaal = Gham Ka Ghubaar Kali = Ghuncha Barq = Bijli Jale = Sadna 42

52 Khuda Kare Ke Gham Ka Gard O Ghubaar Ishq E Rasool Ke Paani Se Dhul Jaaye Aur Dil Ki Kali Nigah E Mustafa Se Khil Jaaye To Phir Meri Aankh Ko Bijli Bhi Na Jala Sake Gi Kyun Ke Aankh Ki Roshni Bijli Se Bhi Tez Hojaaye Gi Aur Phir Meri Khushi Ke Aanso Pe Koi Hans Bhi Na Sake Ga Ke Har Kisi Ko Mera Haal Maloom Hoga Aur Har Koi Allah Se Ro Ro Kar Mere Jaisa Haal Talab Kare Ga. Jaan E Safar Naseeb Ko Kis Ne Kaha Maze Se So Khatka Agar Sehar Ka Ho Shaam Se Mout Aaye Kyun Naseeb = Muqaddar Maze Se So = Aaram Ki Neend Khatka = Khauf, Darr Madina Shareef Jaise Safar Ki Tayyari Kar Ke Maze Ki Neend So Jaane Ka Kya Matlab! Agar Subah Bedar Hone Ka Khatra Tere Peshe Nazar Tha To Tujhe Shaamo'n Shaam Is Tarah Maut ( Neend) Na Aati 43

53 Balke Madine Ki Yaad Me Raat Bhar Jaag Kar Guzar Jaata. Ab To Na Rok Aye Ghani Aa'dat E Sag Bigad Gayi Mere Kareem Pehle Hi Luqma E Tar Khilaaye Kyun Ghani = Maaldaar Luqma E Tar = Tar Niwala Aye Mere Kareem Aaqa ﷺ Aap Ki Rehmat Ki Wusa'ton Ko Dekh Kar Aap Ke Jood O Ata Ki Bulandiyon Ko Dekh Kar Aur Musalsal Aap Ki Ataaien Samet, Samet Kar Aap Ki Gali Ke Is Sag Ki Aadat Bigad Gayi Hain Agar Baad Me Rukhi Sokhi Roti Par Guzara Karwana Tha To Pehle Hi Tar Niwala Khilaya Hota, Ab Meherbani Farmaye Karam Ki Bheek Ata Karte Rahe Taa Ke Ek Hi Dagar Pe Guzarti Rahe Aur Ameeri Ke Baad Faqeeri Ka Munh Na Dekhna Pade. 44

54 Raah E Nabi Me Kya Kami Farsh Biyaadh E Deedah Ki Chadar E Zil Mulgaji Zere Qadam Bhichaaye Kyun Farsh = Qaleen Waghaira, Zameen Biyaadh E Deedah = Aankh Ki Safedi Zil = Saaya Mulgaji = Ghubaar, Aaluda Zere Qadam = Qadam Ke Neeche Huzoor E Aqdas ﷺ Ke Jism Ka Saaya Na Hone Ki Ek Aqli Wajah Bayan Farmate Hain Ke Aap Ki Guzar Gaah Pe Apni Aankhon Ki Safedi Ka Farsh Bhichaane Waale Aap Ke Ghulamo'n Ki Kya Kami Hai Jo Aap Ko Saaya Ki Maili Kuchli Chadar Mehsoos Ho. Sang E Dar E Huzoor Se Hum Ko Khuda Na Sabr De Jaana Hai Sar Ko Jaa Chuke Dil Ko Qaraar Aaye Kyun 45

55 Sang = Chowkat Qaraar = Sukoon Aye Allah Meri Ye Dua Ke Tere Mehboob Ke Dar Par Bechain Hokar Zindagi Guzarun, Aur Sar Rakh Kar Ragdun Ya Phir Beqaraari me jaan bhi de dun lekin Qaraar kaise aaye. Hai To Raza Nira Sitam Jurm Pe Gar Lajaayein Hum Koi Bajaaye Soz E Gham Saaz E Tarab Bajaaye Kyun Nira = Khalis Sitam = Zulm Jurm = Gunah Lajaaye = Sharmaye Soz E Gham = Gham Ki Jalan Saaz E Tarab = Khushi Ka Saaz Baja Aye Raza Kis Qadar Zulm Hoga Ke Hum Apne Gunaho Par Sharminda Ho Kar Ro Ro 46

56 Kar Allah Se Muafi Maang Rahe Ho Aur Koi Hamare Gham Me Shareek Ho Kar Hamdardi Karke Pareshaan Hone Ke Bajaaye Khushi Aur Masrrat Ke Shaadiyaane Bajana Shuru Karde. To Jan Ye Kisi Mamooli Samjh Boojh Waale Se Nahi Ho Sakta To Hamare Aaqa Humien Sazao'n Me Dekh Kar Kaise Khush Rahengey Balke Unko To Khushi Tab Hogi Jab Saare Ummati Jannat Me Daakhil Hojayengey. (6) Unki Mehak Ne Dil Ke Ghunche Khila Diya Hain Jis Raah Chal Gaye Hain Kooche Basa Diye Hain Mehak = Bheeni Bheeni Khushboo Ghunche = Kali, Band Phool Khila Diye = Khol Diye Hain Kooche = Galiyaan Basa Diye = Abaad Kardiye Mere Aaqa ﷺ Ki Kaisi Shaan Hai Ke Aap Jidhar Se Bhi Guzre Hain Aap Ke Jism E Aqdas Ke 47

57 Khushboo Se Dilo Ki Band Kaliyaan Khilti Gayi ( Gham Mit Gaye, Mohabbat Ki Hawaien Chalti Gayi) Aur Gali Koocho'n Se Weerani Door Hogayi Aur Aabdai Hogayi. Jab Aagayi Hai Josh E Rehmat Pe Unki Aankhien Jalte Bujha Diye Hain Rote Hansa Diya Hain Josh = Ghalba Jalne = Jo Aag Me Jal Raha Ho Mere Aaqa Ki Rehmat Ka Aalam Ye Hai Ke Jab Unki Rehmat Ka Darya Josh Me Aata Hai Yaani Ummat Ki Bakhshish Ke Liye Aankhon Se Aansoo Jaari Huye To Aap Ki Ba Barkat Aansuo'n Ne Jahannum Ke Jalte Sho'lon Ko Bhuja Diya Hai Aur Un Se Darne Waalo Ki Shafa'at Karke Un Rone Waalo Ko Hansa Diya Hai. Ya Matlab Ye Hai Ke Jis Taraf Huzoor ﷺ Ne Nigha E Rehmat Se Dekha Bad Bakhti Ki Aag Me Jalne Waalo Ko Nek Bakht Bana Kar Unke Chehron Pe Muskurahat Ke Phool Khila Diye Hain. 48

58 Ik Dil Hamara Kya Hain Aazaar Uska Kitna Tum Ne To Chalte Phirte Murde Jila Diye Hain Aazaar = Takleef Jila Dena = Zinda Karna Aye Mere Aaqa Hamare Dil Ki Beemari Takleef To Aap Ke Liye Mamooli Baat Hai Aap Ne To Chalte Phirte Murdo'n ( Kaafir, Mushrik,'Darakht, Patthar) Ko Kalma Padha Kar Imaan Ki Daulat De Kar Zinda Farma Diya Hain. Unke Nisaar Koi Kaise Hi Ranj Me Ho Jab Yaad Aagaye Sab Gham Bhula Diye Hain Ranj = Takleef Mere Aaqa Aap Ke Zikr Par Hum Kyun Na Qurban Ho Jaaye Ki Jitni Bhi Pareshaaniyan Kyun Na Ho Jab Yaad Aajaye To Sab Takleefain Door Aur Sab 49

59 Gham Kafoor Hojate Hain Aur Dil Pur Noor Hojaate Hain. Hum Se Faqeer Bhi Ab Pheri Ko Ut the Hongey Ab To Ghani Pe Dar Par Bistar Jama Diye Hain Pheri = Chakkar Lagana Ghani = Maaldar Jama Dena = Jam Kar Baith Jaana Hum Jaise Bhi Gaye Guzre Mangte Aur Bhikaari Ab Kisi Aur Dar Pe Bheek Ke Liye Kyun Phere Aur Chakkar Lagayein Bas Ab Pheri Aur Chakkar Khatam, Kyun Ke Aise Sakhi Ka Darwaza Mil Gaya Hai. Asra Me Guzre Jis Dam Berey Pe Qudsiyon Ke Hone Lagi Salami Parcham Jhuka Diye Hain Asra = Safar E Meraj Bera = Jama'at Qudsi = Farishte 50

60 Parcham = Jhanda Shab E Asra Ke Dulha Shab E Meraj Jab Aasmaniyo Ki Bulandi Par Farishton Ke Jamme Ghafoor ( Jo Aap Ke Isteqbal Ke Liye Sidrtaul Muntaha Ke Paas Jama' The Ta Ke Huzoor Ka Isteqbal Bhi Karien Bhi Aur Jo Aaj Tak Ziyarath Se Musharraf Nahi Ho Sake Wo Ziyarath Bhi Karlien. Aane Do Ya Duboo Do Ab To Tumhari Jaanib Kashti Tumhi Pe Chori Langar Utha Diye Hain Duboo = Garq Kardo Jaanib = Taraf Langar = Wo Rassi Jisse Kashti Baandhi Jaati Hai Aye Mere Aaqa Madina Shareef Ke Liye Hum Behri Jahaaz Pe Suwaar Ho Chuke Hain Aur Jahaz Chal Pada Hai Rassi Khol Diye Gaye Hain Ab Aap Ki Marzi Hai Humien Samadar Me Dubok Dein Ya Apni Bargah Me Aane De. 51

61 Ya Phir Aye Mere Aaqa Hum Ne Apni Zindagi Ki Kashti Aap Ke Bharose Par Duniya Ke Samundar Me Chala Di Hai Aur Rassi Khol Diye Hain Ab Aap Ki Marzi Humien Raaste Me Rakhien Yaani Na Kaami Ki Taraf Isharah Hai Ya Qiyamat Kar Ke Apne Saath Jannat Me Le Jaaye. Dulha Se Itna Keh Do Pyaare Suwaari Roko Mushkil Me Hai Baraati Pur Khaar Baadiye Hain Pur Khaar = Kaanto Se Bhare Huwe Baadiye = Jangal Aye Farishto! Aaqa Shab E Asra Ke Dulha Tak Meri Ye Darkhwast Pahuncha Do Ke Ya Rasool Allah ﷺ Maidan E Mehshar Me Zara Sawaari Rok Rok Kar Chalna Ke Aap Ke Ummati Un Pur Khaar Baadiyo ( Mehshar Ke Mushkilat) Me Phanse Huwe Hain Un Ko Saath Le Kar Jaaye. Allah Kya Jahannum Ab Bhi Na Sard Hoga Ro Ro Ke Mustafa Ne Darya Baha Diye Hain 52

62 Aye Mere Allah! Kya Tera Jahannum Tere Mehboob Ke Ummat Ke Liye Abhi Thanda Nahi Huwa? Halanke Tu Janta Hai Tere Mehboob Ne Apni Ummat Ki Bakshish Ki Khaatir Teri Bargah Me Ro Ro Kar Itni Duaayien Maangi Ke Goya Aap Ne Aanso Darya Ban Kar Bah Rahe Hain. Mere Kareem Se Agar Qatra Kisi Ne Maanga Darya Baha Diye Hain Durbe Baha Diye Hain Dur = Mo'ti Be Baha = Bohat Zyada Mere Kareem ﷺAaqa Wo Hain Ke Agar Un Se Kisi Ne Qatra Ka Sawal Kiya Karne Waale Ne To Apni Zaroorat Ke Mutabiq Sawal Kiya Magar Aaqa Ne Us Ki Zaroorat Ke Mutabiq Nahi Apni Shaan ﷺ Ke Mutabiq Ata Farmaya Hain. Lihaza Kisi Ne Ek Qatra Ka Sawal Kiya Hai To Aap Ne Darya Ata Kar Diya Yaani Pesh Qeemti Heere Jawahirat Se Nawaz Diya Hain. 53

63 Mulk E Sukhan Ki Shaahi Tum Ko Raza Musallam Jis Simt Aagaye Ho Sikke Bitha Diye Hain Mulk E Sukhan = Kalam Ka Mulk Shaahi = Hukoomat Musallma = Supurd Simt = Taraf Sikke Bitha Dena = Danke Baja Dena Tehdees E Nemat Ke Taur Par Ke Aye Ahmed Raza To Tehreer Aur Fasahat O Balaghat Ka Baadshah Hai Aur Haqeeqat Pasand Logon Ne Is Maidan Me Teri Badshahi Tasleem Karliya Hai Jis Mauzu Par Tu Ne Qalam Uthaya Hai Haq Ada Kar Diya Hain. 54

64 (7) Pul Se Utaro Rah Guzar Ko Khabar Na Ho Jibreel Par Bichaaye To Par Ko Khabar Na Ho Utaro = Guzaaro Rah Guzar = Raasta Aye Mere Pyare Aaqa!ﷺ Apni Ummat Par Ye Ehsaan Bhi Farma Dijiye Ke Jab Baroz E Qiyamat Aap Ki Ummat Pul Sirat Se Guzarne Lage To Aap Ki Madad Shaamil E Haal Ho Jaaye Aur Ummati Aisi Aasani Ke Saath Us Baal Se Zyada Bareek Talwaar Se Zyada Tez Pul Se Guzar Jaaye Ke Khud Pul Ko Bhi Pata Na Chale Ke Koi Mujh Pe Hai Ya Nahi Aur Jibrael Ameen Apni Tamanna Poori Karne Ke Liye Aap Ki Ummat Ki Qadmo Ke Neeche Pul Sirat Pe Par Bhichaaye To Un Ke Par Ko Bhi Pata Na Chale. Kaanta Mere Jigar Se Gham E Rozgaar Ka Yun Kheench Lijiye Ke Jigar Ko Khabar Na Ho Rozgaar = Fikr E Muash, Rozi Ki Fikr 55

65 Kheench Lijiye = Nikaal Lijiye Aye Mere Pyare Nabi ﷺ Duniya Ke Ranj O Alam Aur Fikr E Muash Ka Kaanta Mere Dil Se Is Tarah Nikaal Dijiye Ke Mere Dil Aur Jigar Ko Us Kaante Ka Nikalne Ka Ehsaas Tak Na Ho. Faryad Ummati Jo Kare Haal E Zaar Me Mumkin Nahi Ke Khair E Bashar Ko Khabar Na Ho Fariyad = Madad Maangna Haal E Zaar = Mushkil Me Khair E Bashar = Insano'n Me Sab Se Behtar Bhala Ye Kaise Ho Sakta Hai Ke Koi Aap Ka Museebat Me Phansa Huwa Ummati Khuloos Niyyat Ke Saath Aap Ko Pukaare To Aap Tamaam Kaayenath Ke Sardar Hokar Bhi Uski Faryaad Rasi Na Farmaye. Kehti Thi Ye Buraq Se Uski Sabak Ravi Yun Jayiye Ke Gard E Safar Ko Khabar Na Ho 56

66 Buraq = Me'raj Ki Raat Huzoor ﷺ Ki Sawari Sabak Ravi = Tez Raftaari Gard E Safar = Raaste Ka Ghubaar Meraj Ki Shab Jab Hamare Aaqa O Moula ﷺ Buraq Par Jalwa Gar Huwe To Buraq Ki Tez Raftaari Buraq Ko Keh Rahi Thi Ke Aisi Sahulat O Aaram Se Chalna Ke Raaste Ko Bhi Pata Na Chale Ke Mere Upar Kon Ja Raha Hai. Farmate Hain Ye Dono Hain Sardare E Do Jahaan Aye Murtaza! Ateeq O Umar Ko Khabar Na Ho Murtuza = Hazrth E Ali Ka Laqab Ateeq = Hazrath E Siddique Akbar Ka Laqab Ek Hadees E Pak Ka Mafhoom Bayan Kiya Ja Raha Hai Ke Aye Ali! Abu Bakr O Umar Dono Sardar Hai Aur Unhien Khabar Na Ho. 57

67 Aisa Ghuma De Unki Wila Me Khuda Humien Dhoonda Kare Par Apni Khabar Ko Khabar Na Ho Wila = Mohabbat Allah Ta'ala Se Dua Hai Ke Humien Unki Aur Aap Ke Sahaba E Kiram Ki, Ahle Baith Ki Mohabbat Me Aisa Fana Karde Ke Khud Hamari Khabar Ko Bhi Pata Na Chale Ke Hum Kahaan Hai. Aa Dil Haram Ko Rokne Waalo'n Se Chup Ke Aaj Yoon Uth Chalien Ke Pehlu O Bar Ko Khabar Na Ho Pehlu = Karwat, Pasli Bar = Seena Haram E Nabvi Se Rokne Waalo'n Ke Saath Aaj Ek Chaal Chalte Hain Aur Wo Ye Ke Aaj Is Tarah Haazri Dete Hai Ke Rokne Waalo'n Ko To Kya Pata 58

68 Chale Ga Khud Hamare Pehlu Aur Deegar Aa'za Ko Bhi Pata Na Chale Ga Aur Wo Haazri Dil Ki Haazri Hai Ke Baithe Baithe Haazri Hogayi. Tair E Haram Hai Ye Kahin Rishta Bapaa Na Hon Yoon Dekhiye Ke Taar E Nazar Ko Khabar Na Ho Tair E Haram = Haram Ke Parinde Rishta Bapa = Ta'lluq Qayim Hona Taar E Nazar = Aankh Ki Putli Kahin Haram E Nabvi Ke Parindo'n Se Hamari Dosti Na Paida Hojaye Lihaza Sarkar Roze Ko Aise Adab Se Dekhun Ke Aankh Ki Putli Bhi Dekhti Hi Rah Jaaye Aur Us Ko Pata Hi Na Chale Ke Hum Ne Kis Ko Dekh Liya Hai. Aye Khaar E Taiba Dekh Ke Daaman Na Bheeg Jaaye Yun Dil Me Aa Ke Deedah E Tar Ko Khabar Na Ho 59

69 Khaar E Taiba = Madine Ka Kaanta Deedah E Tar = Chashm E Tar, Purnam Aankh, Bheegi Huwi Aankh Aye Madine Ke Kaante Dekhna Kahin Meri Aankh Tujhe Dekh Na Le Aur Tere Daaman Pe Koi Cheenta Na Pad Jaaye, Us Ka Behtar Hal Ye Hai Ke Aankh Ko Choron Wo Tere Shayan E Shaan Nahi Har Ek Ko Dekhti Rehti Hai Aa Pyare Mere Dil Me Utar Ja Jahan Madina Hi Madina Samaya Huwa Hai. Ta Ke Meri Bheegi Huwi Aankh Ko Pata Bhi Na Chale. Aye Shauq E Dil Ye Sajda Gar Unko Rawaa Nahi Accha Wo Sajda Kijiye Ke Sar Ko Khabar Na Ho Rawaa = Jaiz Shariyat Me Kisi Ko Bhi Sajda E Tazeemi Karna Jaiz Hi Nahi Hai To Aye Dil Agar Tujhe ShauqHai To Aisa Dili Sajda Kar Ke Sar Ko Bhi Khabar Na Ho. 60

70 Unke Siwa Raza Koi Hami Nahi Jahaan Guzra Kare Pisar Pe Pidar Ko Khabar Na Ho Pisar = Beta Pidar = Baap Aye Raza Pyare Aaqa ﷺ Ke Siwa Us Din Maidan E Mehshar Me Jahan Na Walidain Apni Aulad Ke Kaam Ayingey Wahan Par Siwaaye Huzoor ﷺ Ke Tera Koi Bhi Haami Nahi Hai. (8) Wo Su'ey Laalah Zaar Phirte Hain Tere Din Aye Bahaar Phirte Hain Su'ey = Taraf Laalah Zaar = Baagh Aye Mausam E Bahaar Dekh Mere Aaqa Ka Baagh Kisi Taraf Khirmaan Khirmaan Jaa Raha Hai 61

71 Ab To Khush Ho Ja Ke Tere Upar Asal Bahaar Waqt Aane Wala Hi Hain. Jo Tere Dar Se Yaar Phirte Hain Dar Ba Dar Yun Hi Khaar Phirte Hain Dar Badar = Ek Darwaze Se Doosre Darwaze Tak Khaar = Zaleel Aye Mere Pyare Aaqa ﷺ Jo Aap Ke Dar Se Nakam Waapis Laut Gaya Wo Kabhi Kisi Kaam Ka Na Ho Saka Dar Badar Dhakke Khaata Zaleel O Ruswa Hota Raha. Aah Kal A'ysh To Kiye Humne Aaj Wo Be Qaraar Phirte Hain Aah = Haaye, Afsos A'ysh = Aaram Be Qaraar = Be Chain 62

72 Duniya Ke Andar Ghaflat Me Pade Rahe Aakhirat Ki Parwah Kiye Baghair Aish O Ishrat Me Zindagi Guzarte Rahe Aur Aakhirat Ko Fikr Tak Na Ki Lekin Maidan E Mehshar Me Dekho Kaise Be Chain Phirte Hain. Unke Eemaa Se Dono'n Baagho'n Par Khayl E Layl O Nahaar Phirte Hain Mushkil Alfaz:- Eemaa = Ishaara Baagh = Lagaam Khayl = Ghode Layl O Nahaar = Raat Din Din Aur Raat Ke Ghode Ke Laagaamien Aap Hi Ke Haath Me Hai Aur Aap Hi Ke Ishaare Par Rawaan Dawaan Hai Aap Rok De To Ruk Jaaye Balke Wapis Aajaye. Har Chiragh E Mazar Par Qudsi Kaise Parwaana Waar Phirte Hain 63

73 Qudsi = Farishte Parwaana waar = Parwaane Ki Tarah Mere Aaqa ﷺ Ke Mazar E Pur Anwaar Pe Dekho Farishte Haazir Hote Hain Aur Apne Noorani Paro'n Se Mazar Mubarak Par Jhaadun Dete Hain Yaani Apne Paro'n Ko Sarkar Ki Qabr E Anwar Par Malte Hain. Us Gali Ka Gada Hoon Main Jis Me Maangte Tajdaar Phirte Hain Gada = Bhikaari Main Koi Kisi Mamooli Dar Ka Mangta Nahi Hoon Balke Aaqa E Do Jahaan ﷺ Ki Gali Ka Faqeer Hoon Jahaan Duniya Ke Bade Bade Baadshah Bhi Sarkar Ki Bheek Mangte Phirte Hain. Jaan Hai Jaan Kya Nazar Aaye Kyun A'du Gird O Ghaar Phirte Hain 64

74 Jaan = Rooh A'du = Dushman Gird O Ghaar = Ghaar Ke Ird Gird Ghaar E Saur Me Hijrt Ki Raat Qiyaam Ke Dauran Dushman Ghaar Ke Dahaane Pe Chale Aaye Aur Idhar Udhar Phirte Rahe Magar Mere Aaqa Unko Nazar Na Aaye Is Liye Ke Aap To Rooh Aur Jaan E Kainaat Hai Aur Jaan Bhala Kahan Nazar Aati Hai Aur Aap To Emaan Ki Bhi Jaan Hai. Phool Kya Dekhun Meri Aankhon Me Dasht E Taiba Ke Khaar Phirte Hain Dasht E Taiba = Madine Ka Jangal Khaar = Kaanta Aye Phoolo'n Mujhe Mazoor Samjho, Main Tumhien Nahi Dekh Sakta Kyun Ke Meri Aankhon Me Madine Ke Kaante Aise Bas Gaye Hain Ke Ab 65

75 Duniya Me Phoolo'n Se Zyada Madine Ka Kaanto'n Ki Mohabbat Dil Me Sama Gayi. Laakho'n Qudsi Hai Kaam Khidmat Par Laakho'n Gird E Mazaar Phirte Hain Kaam Khidmat = Nokri Gird E Mazaar = Roz E Pak Ka Ird K Gird Sarkar E Madina ﷺ Ki Bargah Me Har Waqt Farishto'n Ka Hujoom Rehta Hai Har Kisi Ke Zimme Koi Na Koi Khidmat Hai Aur Laakho'n Roza E Anwar Ke Gird Chakkar Laga Rahe Hai Aur Wajd Ke Aalam Me Jhoom Kar Arz Kar Rahe Hain. Wardiyaan Bolte Hain Har Kaarey Pehra Dete Sawaar Phirte Hain Wardiyaan = Is Tarha Wazeefa Padte Hain Har Kaare = Elaan Karne Waala 66

76 Kayi Farishte Aap Ki Bargah Ke Bahar Nabuwwat Baja Kar Huzoor Ke Karam O Rehmat Ka Elaan Kar Rahe Hain Aur Kayi Doosre Noor Ki Sanwaar Ho Kar Aap Ke Shahar Ka Pehra De Rahe Hain. Rakhiye Jaise Hain Khaana Zaad Hain Hum Mol Ke Ayb Daar Phirte Hain Khaana Zaad = Ghar Hi Me Paida Hone Wala Ghulam Mol = Qeemat A'ib Daar = A'ib Waala Ya Rasool Allah ﷺ Hum Jaise Bhi Hai Nikamme Hai Ya Kaam Ke Humien Apne Dar Par Hi Rakhiye Kyun Ke Hum Aap Ke Tukdo Pe Pale Huwe Hain. Agar Aap Becheingey To Hum Jaise Aibo'n Ko Kon Khareede Ga, Acche Bhale Qeemat Waale Maare Maare Phir Rahe Hain Aur Zaleel Ho Rahe Hain To Hamara Kya Banega. Haaye Ghafil Wo Kya Jaga Hai Jahaan Paanch Jaate Hai Chaar Phirte Hain 67

77 Aye Maut Se Bakhabar Ho Kar Ghaflat Ki Neend Sone Waale Nadaan! Hosh Kar Apne Ird Gird Dekhta Nahi Chaar Chaar Ya Paanch Paanch Janaze Galiyo Me Phir Rahe Hain Aakar Qabristano'n Ki Taraf Ja Rahe Hain. Bayen Raaste Na Ja Musaafir Sun Maal He Raah Maar Phirte Hain Aye Duniya Ke Chand Roz Musafir Agar Tere Seene Me Ishq E Rasool ﷺ Ki Daulat Hai To Baayien Ashaab Us Shimaal Waale Raaste Ki Taraf Na Ja Kyun Ke Us Raaste Par Bhes Badal Rahe Kat Daak Zani, Thag Baazi Me Masroof Kaar Hai Kahin Ishq E Rasool ﷺ Ki Daulat Lut Na Jaaye. Jaage Sunsaan Ban Hai Raat Aaye Gurg Behr E Shikaar Phirte Hain Sunsaan = Weeran Ban = Jangal Gurg = Bhediya Behr = Waaste 68

78 Aye Ghafil Insan! Hoshiyaar, Kyun Ke Duniya Ke Weeran Jangal Me Hai Aur Yahan Bade Bade Bhediya Tera Shikaar Karne Nikle Huye Hain. Aur Agar Un Se Bach Gaya Bhi To Nafs O Shaitan Mauqa' Par Aakhirath Kahin Barbad Na Karde Nafs Ye Koo Chaal Hai Zaalim Jaise Khaase Bajaar Phirte Hain Khaase = Acche Bajaar = Zabardast Aye Dhoke Baaz Nafs Ye Bhi Teri Koi Chaal Hi Lagti Hai Ke Tu Ne Bade Bade Ke Ghar Ujaad Diye Hain Ya Matlab Ye Hain Ke Aye Nafs Zaalim Teri Shararat Az Baam Ho Chuki Hai Jaisi Chaal Chal Ke Aayega. Koi Kyun Pooche Teri Baat Raza Tujhse Kutte Hazaar Phirte Hain 69

79 Aye Ahmed Raza Tu Kya Teri Haqeeqat Kya Tujh Se Hazaaro'n Sag Madine Ki Galiyo Me Phir Rahe Hain. (9) Sab Se Aula O Aala Hamara Nabi Sab Se Baala O Waala Hamara Nabi Aula = Sab Se Behtar Aala = Sab Se Buland Baala = Buland Waala = Oonche Martabe Waala Saari Makhlooq Se Afzal O Aala Aur Buland Aur Baala Hamare Aaqa O Maula ﷺ Ki Zaat E Ba Barkaat Hai. Apne Moula Ka Pyara Hamara Nabi Dono Aalam Ka Dulha Hamara Nabi Maula = Malik ( Allah Ta'ala) 70

80 Aalam = Jahaan Dulha = Jis Ke Liye Baraat Sajaayi Gayi Hamare Aaqa ﷺ Apne Rab Ko Bohat Pyaare Hain Yun Samjho Ke Ap Aise Dulha Hain Ke Dono Jahaan Aap Ke Liye Baraati Hai. Bazm E Aakhir Ka Shama' Farozaan Huwa Noor E Awwal Ka Jalwa Hamara Nabi Bazm E Aakhir = Aakhri Mehfil Shama' Farozaan = Roshan Shama' Noor E Awwal = Noor E Azli ( Allah) Hamare Aaqa ﷺ Duniya Ki Mehfil Me Sab Se Aakhir Me Tashreef Laaye Aur Aakhirath Me Jab Maidan E Mehshar Me Saare Jahaan Ki Mehfil Sajegi Wahan Bhi Shama' E Mehfil Huzoor ﷺ Hi Ki Zaat Hogi Aur Kyun Na Ho Ke Aap Zaat E Khuda Wandi Ka Jalwa Hai. 71

81 Jis Ko Shayaan Hai Arsh E Khuda Par Juloos Hai Wo Sultan E Waala Hamara Nabi Shayaan = Laayiq Juloos = Baithna Sultan e Waala = Buland O Baal Baadshah Hamare Aaqa ﷺ Jab Ithe Buland Hai To Unke Liye Baithne Ki Jaga Arsh E Aala Hi Sab Se Munasib Jaga Tehri. Bujh Gayi Jiske Aage Sabhi Mash'ale Shama' Wo Lekar Aaya Hamara Nabi Mash'ale = Shama'ien Nabi E Akram ﷺ Jo Deen E Haq Deen E Islam Ka Shama' Lekar Aaye Us Ke Aage Pichle Tamaam Ambiya Kiram Ki Adyaan Ki Shama'ien Bujh Gayi Aur Aap Ke Deen Ne Tamam 72

82 Adyan Ko Mansookh Kardiya Ab Naja'at Isi Deen Me Hai. Jin Ke Talwo'n Ka Dhowan Hai Aab E Hayaat Hai Wo Jaan E Maseeha Hamara Nabi Dhowan = Istemal Kiya Huwa Paani Aab E Hayaat = Hayat Baksh Paani Jaan E Maseeha = Isa Alaihissalam Ki Bhi Jaan Sarkar ﷺ Ke Qadam Mubarak Se Ba Waqt E Wuzoo Girne Waala Paani Aisa Hai Ke Jis Se Ahle Emaan Ko Hayaat E Jaavedaani Naseeb Hoti Hai. Is Liye Huzoor ﷺ Isa Alihissalam Ki Bhi Jaan Hai. Arsh O Kursi Ko Thi Aaina Bandiyaan Suye Haq Jab Sudhara Hamara Nabi Aaina Bandiyaan = Rang Range Sheesho'n Se Makaan Ko Aarasta Karna Sudhara = Rawana Huwa 73

83 Jab Nabi E Akram ﷺ Shab E Meraj Ke Dulha Bane To Aap Ki Izzat Afzaai Ke Liye Allah Ta'ala Ne Arsh O Kursi Ko Bhi Khoob Sajaya Hain. Khalq Se Auliya Auliya Se Rusul Aur Rasoolo'n Se Aala Hamara Nabi Khalq = Makhlooq Auliya = Allah Ke Pyaare Rusul = Ambiya E Kiram Tamam Makhlooq Me Se Insan Afzal O Aala Aur Insaano Se Auliya E Kiram Afzal Hai Aur Auliya Se Rasool O Mursaleen Afzal Aur Sab Rasoolo'n Se Aala Hamare Nabi ﷺ Hai. Husn Khata Jis Ke Namak Ki Qasam Wo Maleeh E Dil Aara Hamara Nabi Maleeh = Namkeen ( Jisko Dekhne Se Sairabi Na Ho) 74

84 Husn E Mustafa ﷺ Se Aisi Namkeen O Malahat Hai Ke Khud Husn Bhi Us Malahat Ki Qasmien Khata Hai Aur Wo Malahat Waala Pyaara, Aankho Ka Taara, Hamara Nabi Hai. Zikr Sab Pheeke Jab Tak Na Mazkoor Ho Namkeen Husn Waala Hamara Nabi Pheeke = Be Mazaa Mazkoor = Jiska Zikr Kiya Jaaye Jis Tarah Khaana Baghiar Namak Ke Pheeka Aur Be Maza Isi Tarah Agar Khuda Ka Zikr Kar Liya Jaaye Aur Mehboob e Khuda Ka Zikr Na Kiya Jaaye To Saare Zikr Pheeke Rehte Hain. Jis Ke Do Boond Hai Kausar O Salsabeel Hai Wo Rehmat Ka Darya Hamara Nabi Boond = Qatre Kausar = Jannat Ki Nehr Houz E Kausar Salsabeel = Jannat Ka Ek Chashma 75

85 Hous e Kausar Jisse Saari Kaainat Paani Piyegi Magar Uske Paani Me Kami Na Aayegi. Isi Tarah Salsabeel Bhi Jannat Ka Bohat Bada Chashma Hai Lekin Mere Aaqa ﷺ Ki Rehmat Ka Dhaate Maarta Huwa Samundar Itna Wasee' Hai Ke Ye Kausar O Salsabeel Uske Do Qatre Hain. Jaise Sab Ka Khuda Ek Hai Waise Hi Inka Unka Tumhara Hamara Nabi Jis Tarah Allah Ta'ala Khuda Hone Me Tanha Hai, Allah Ka Mehboob Rasool Hone Me Saari Khudaayi Me, Wo Khuda Hone Me Be Misaal Ye Mustafa Hone Me Be Misaal, Wo Sab Ka Khuda Hai Aur Ye Sabke Nabi Hai. Qarno Badli Rasoolo'n Ki Hoti Rahi Chaand Badli Ka Nikla Hamara Nabi Qarno = Zamane Badli = Badalna 76

86 Hazrath E Adam Alaihissalam Se Lekar Hazrth E Isa Tak Nabi Aate Rahe Jaate Rahe Koi Kisi Zamane Ka Nabi, Koi Kisi Alaqe Aur Khitte Ka Nabi Lekin Jab Hamare Nabi Ka Aaftab Buland Huwa To Ta Qiyamat Kisi Nabi Ki Zaroorat Hi Baaqi Na Rahi. Kon Deta Hain Dene Ko Munh Chahiye Dene Waala Hai Saccha Hamara Nabi Dene Ko = Ata Karne Ko Huzoor ﷺ Ke Siwa Kon Hai Jo Har Suwali Ki Chahat Se Zyada Ata Kare Kisi Ko Emaan De Kisi Ko Hidayat De Aur Bhi Mazeed To Ye Sab Kuch Dene Waala Allah Ka Mehboob Hi Hai Jo Sab Ki Hajaatien Poori Farma Raha Hain. Kya Khabar Kitne Taare Khile Chup Gaye Par Na Doobe Na Dooba Hamara Nabi Khile = Chamke Chup Gaye = Ghuroob Huwe 77

Slide 1

Slide 1 March 2015 एक स द श स प दक क ओर स Editor s message ह न द सम ज क प र य सदस य, ल म, 15 फ रवर क म र ख ल हदवस क द र न आप स एक ब र फ र स ममलन क स भ ग य प र प त य This provided an opportunity for all present

अधिक जानकारी

हो गई है पीर पर्वत-सी पिघलनी चाहिए – – दुष्यन्त कुमार,आओ! मगर ठहरो / निधि सक्सेना,कोशिश कर, हल निकलेगा (Anonymous),समर शेष है – रामध

हो गई है पीर पर्वत-सी पिघलनी चाहिए – – दुष्यन्त कुमार,आओ! मगर ठहरो / निधि सक्सेना,कोशिश कर, हल निकलेगा (Anonymous),समर शेष है – रामध ह गई ह प र पर वत-स पघलन च हए द ष यन त क म र ह गई ह प र पर वत-स पघलन च हए ह गई ह प र पर वत-स पघलन च हए, इस हम लय स क ई ग ग नकलन च हए आज यह द व र, परद क तरह हलन लग, शर त ल कन थ क य ब नय द हलन च हए हर सड़क

अधिक जानकारी

ISSN: स ह य स हत Available at Volume 01 Issue 0 May 2015 ह द क वतर न क प रवतर न एम.आर.अय गर (

ISSN: स ह य स हत Available at   Volume 01 Issue 0 May 2015 ह द क वतर न क प रवतर न एम.आर.अय गर ( ह द क वतर न क प रवतर न एम.आर.अय गर (http://www.hindikunj.com/2014/12/the-spelling-of-hindi.html) आज क ह द वणर म ल न न न स र ह. चत र -1 इन वणर म ल ओ म अ,आ,ओ,औ,अ,अ,ख,छ,ण,ध,भ अक षर पर ग र क जए, आज इ ह उस

अधिक जानकारी