English Transliteration Copy PROSPECTUS ESTD: 2017 JAMIA ABI HURAIRAH ONLINE ACADEMIC UNIT OF KHANQAH-E-DAR-UL-EHSAN Under Esteemed Supervisio

इसी तरह के दस्तावेज
वह एक नव मुस्लिम है और अपने पास कुत्ता रखना चाहती है

Afzal Husain Tally ERP 9 Complete Course TALLY ERP 9 COURSE क हम श र आत कर च क ह और य पहल PART ह ज स स RELATED NOTES म आपक PDF म द रह ह NOTES म द गई ह

Microsoft Word - Recruitment

इस्लाम की सहिष्णुता

MergedFile

अल्लाह तआला हमारी दुआओं को क्यों नहीं स्वीकार करता ॽ

11_0549_02_2017_ indd

Process of filling Application Form 1. First of all download and read carefully the Application Brochure from website. lcls igys osclkbv ij fn;s Appli

Zikr-e-ilahi (Hindi)

03_0549_01_2017_ indd

Slide 1

Restitution Program: Information for Offenders Brochure - Chinese

उ तर द श श सन क म क अन भ ग-1 स य -1/2016/13/2/1997-क लखनऊ :: दन क 17 फरवर, 2016 अ धस चन क ण स वध न क अन छ द, 309 क पर त क र द त श क य ग करक, र

र ष ट र य फ शन ट क न ल ज स स थ न, भ प ल {वस र म र लय, भ रत सरक र} ननफ ट प रभ ग, म. प र. भ ज म क त ववश वववध लय पररसर, क ल र र ड, भ प ल (म.प र.)

ईद के अहकाम और उसकी सुन्नतें

Restitution Program: Information for Victims Brochure - Hindi

_2018 puzzle pdf hindi.xps

Delhi School of Journalism University of Delhi Counseling Schedule for Admission to DSJ - English & Hindi (Scroll Down for Hindi) The counseling is st

Microsoft Word gi

मुसलमान लोग अल्लाह के ईश्दूत ईसा का जन्मदिवस क्यों नहीं मनाते जिस तरह कि वे अल्लाह के ईश्दूत मुहम्मद सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम का जन्मदिवस मनाते हैं?

ओब ह 1 1 ओब ह 5 ओब ह एद म द ण डत ह ग 1 यह ओब ह क दश न ह म र स व म यह व एद म क ब र म यह कहत ह : हमन यह व परम र स एक सन द श प र कय ह र ष ट र क एक द त भ

jftlvªh laö REGD. NO. D. L /99 vlk/kj.k EXTRAORDINARY Hkkx II [k.m 3 mi&[k.m (i) PART II Section 3 Sub-section (i) izkf/dkj ls i

Delhi School of Journalism University of Delhi Counseling Schedule for Admission to DSJ English FOURTH LIST The counseling is strictly for those appli

jftlvªh laö REGD. NO. D. L /99 vlk/kj.k EXTRAORDINARY Hkkx II [k.m 3 mi&[k.m (ii) PART II Section 3 Sub-section (ii) izkf/dkj ls

Microsoft Word gi

त १:१ 1 त १:९ Ruth त एल म ल क क प रव र क म आब क ज न १ जन दन म न य य ल ग न य य करत थ * उन दन म द श म अक ल पड़, तब यह द क ब तलहम क एक प ष अपन स त र और द

PowerPoint Presentation

1 थस सल न कय १:१ 1 1 थस सल न कय १:८ 1 Thessalonians 1 थस सल न कय श भक मन ए १ प ल स और सलव न स और त म थय स क ओर स थस सल न कय क कल सय क न म ज पत परम श व

Microsoft Word - Hindi INSTRUCTIONS FOR SUBMISSION OF APPLICATION FORM OF UET

क य आप अपन ऑफ स,ह म Use,स ट ड ट स use य स ट,म र क टट ग,Online वर कक र क ल ए पट प य ड स र कट प न र क स च रह ह पर इतन बजट नह ह त अब आप र क स थ ह India र

PowerPoint Presentation

Microsoft Word - ADVERTISEMENT

4197gi

2 थस सल न कय 1:1 1 2 थस सल न कय 1:10 2 थस सल न कय 1 प ल स, सलव न स और त म थय स क ओर स हम र परम पत परम र और प रभ य श मस ह म स थत थस सल न कय क कल सय क न

दिन और रात की हज़ार सुन्नतें

Microsoft Word gi

श न त क सन द श और एक चद त वन लद खक हज रत ह फ ज म र ज न स र अहमद ख ल फ त ल मस ह त त य रह.

TENDER NOTICE

PowerPoint Presentation

Microsoft Word gi

Microsoft Word - Hindi_Asstt_2014.doc

Language Policy Handout Choithram International (CI) has English as the language of instruction, and surveys and statistical analysis have identified

प्रतिलिपि:

English Transliteration Copy PROSPECTUS 2021-22 ESTD: 2017 JAMIA ABI HURAIRAH ONLINE ACADEMIC UNIT OF KHANQAH-E-DAR-UL-EHSAN Under Esteemed Supervision of Shaykh-e-Tariqat Hazrat Maulana Sayyed Mohammed Talha Saheb Qasmi Naqshbandi Mujaddidi DB Khalifa of Hazrat Peer Zulfiqar Ahmad Sb Naqshbandi Mujaddidi DB

TABLE OF CONTENTS I. INTRODUCTION Table of Contents Technical Requirements Introduction to Jamia Abi Hurairah 2 2 3 II. AALIMIYYAT COURSE Aalimiyyat Program At a Glance Eligibility for Admission Fee Details Course Curriculum 4 5 5 6 III. QURAN LEARNING PROGRAMME Program At a Glance Course Curriculum Fee Details 7 7 7 IV. INFORMATION General Details Testimonials Bank Account Details Contact Information 8 10 11 11 Technical Requirements ( Zaruriyaat ) For All Courses 1. Computer / Laptop / Smartphone (Mobile) 2. Good Quality Headphone + Microphone 3. Strong Internet Connection 4. Zoom Cloud Meeting App (in your device) Note: Please is prospectus ka ek ek word dhyaan se pardhne ke baad hi website par online admission form fill up karna start karein.

Introduction to Jamia Abi Hurairah Jamia ke asal programme 'Basic Aalimiyyat' ka ijmaali khaka Dear Readers, بسم اللہ الرحمن الرحیم الحمد لله و كفى و سلام على عباده الذين اصطفى أما بعد فقد قال اللہ تعالی : و م ا ك ان ال م و م ن ون ل ي ن ف ر وا ك افة ف ل و لا ن ف ر م ن ك ل ف ر ق ة م ن ه م ط اي ف ة ل ي ت ف قه وا ف ي الدين و ل ي ن ذ ر وا ق و م ه م اذ ا ر ج ع وا ال ي ه م ل ع له م ي ح ذ ر ون وقال تعالى : ف اس ال وا اه ل الذك ر ان ك ن ت م لا ت ع ل م ون وقال صلى الله عليه وسلم: ط لب ال ع ل م ف ر ي ض ة ع لى ك ل م س ل م وقال عليه الصلاة والسلام : م ن ي ر د الله ب ه خ ي را ي ف قھ ه ف ي الدي ن Deen ke basics ka itna ilm haasil karna ke Faraiz, Wajibaat awr Sunnatein correctly perform ho jayein aur Haraam awr Makrooh kaamon ko avoid kar sakein, har musalman mard aur aurat ke liye compulsory hai. Isi tarah har musalman ko chahiye ke woh jis field of work se jura ho, us ke zaroori shara'ii ahkaam (Islamic guidelines) ki education zaroor haasil kar le, Misaal ke taur par, business awr Nikah etc, taake haraam aur halal mein differentiate karte hue duniya aur akhirat mein kamyaab ho sakay. Musalmanon ki majority ke liye sirf upar mention kiye gaye basic ilm ka haasil kar lena kaafi hai. Shara'ii ehkaam (Islamic guidelines) ka ilm un ke asal sources (Quran, sunnat, ijma, qiyaas) se haasil karna compulsory nahi, balkay ilm-e-deen ke expert, trusted, awr muttaqi ulama e ummat se maloom kar ke us ke accordingly amal kar lena un ke liye kaafi hai. Yahan un ki zimma daari khatam ho jati hai, is se zyada ka unpar burden nahi. Next step complete/advance level ilm e deen ko original source (Quran, sunnat, ijma a, qiyaas ) se hasil karne ka hai. Har generation aur period mein ummat mein aik aise tabqe (group) ka hona zaroori hai jo is step ka ilm haasil kar ke ummat ki majority ko important issues par aur sahi waqt guide kar sakey aur complete deen ki hifazat (protection) aur next generation tak is ko transfer karne ki compulsory duty perform karey, taake yeh silsila(process) qayamat ke qareeb tak ( jab tak Allah taala ko apne deen ko is zameen par baqi rakhna manzoor ho ) jari (continued) rahe. Ummat ke yahi groups hain jinhein hum respectively mujtahideen, fuqahaa awr ulmaaye kiraam ke naam se yaad karte hain. Ummat ke aam logon ko chahiye ke woh basics aur compulsory ilm ke hasil karne ke baad, har tarah ke kaamo'n aur masroofiyato'n ke sath, kuch na kuch aur extra ilm e deen bhi haasil karte rahen, taake un ke basic ilm mein pukhtagi (perfectness) aur amal mein durustagi o khubsoorti (accuracy and beauty) aati jaye, aur un ki zaat se dusron ko bhi faida pahunchnay lage. Khud Allah taala ne apne Mehboob Hazrat Muhammad Sallallah o alyhe wasallam ko is baat ki talqeen (instruction) farmayi ke aap apne ilm mein izafay (increasement) ki dua mangte raha karein. Aur Mehboob Sallalah o alyhe wasallam, Allah taala se faida pahunchane walay ilm aur Allah ke darbaar mein accept honay wale amal ki dua manga karte thay. Inhi baaton ko saamne rakhtay hue modern education aur different professions se jude woh log jin ko Allah taala ne deen ke, ulmaye kiraam ke aur Allah walon ke qareeb aane ki tofeeq di, aur un ke andar basic ilm deen ke baad ab aur zyada ilm haasil karne ka shauq paida hua, Quran kareem, ahadees Sharifa, fiqh aur different deeni aur islami books ko khud parhnay aur samajhney ki capability paida karne ka shauq awr desire paida hua hai, un ki rahnumai (guidance and teaching) ki khatir sirf Allah ki taufeeq se 2017 mein yeh silsila ( six years basic aalimiyat course ) shuru kiya gaya hai, jis ke zariye se kisi ko koi bazabta (formal) aalim to nahi banaya ja sakta, nah koi is ki umeed rakhay aur nah is ko complete karne ke baad apne aap ko aalim samjhna aur ulama ki list mein count karna shuru kar day. Zahir hai ke is short period mein, bahut kam waqt laga kar aalim ban'nay ka khwaab dekhna ya bananay ka khwaab dikhnana, extreme bhola pan aur bohat bari dhokay baazi hogi. Baqaida aalim ban'nay ke liye (in-person) renowned Islamic universities and famous Islamic seminaries mein admission le kar, ya kisi reputed aalim aur expert teacher ki sohbat (company) mein zindagi ka ek bara hissa continuity aur focus ke sath Ilm hasil karne ke liye dedicate karna zaroori hai. But Allah taala ke fazl o karam aur uski khaas rehmat se qavi (strong) ummeed hai ke is course ko mehnat (hardworking) ke sath parh kar complete kar lene walay afraad (persons) ke andar ek specific level ki strong eligibility aur capability develop ho jaye gi InShaAllah, jis ke baad un mein se interest awr intention rakhnay walay afraad aasani ke sath bare institutions mein fiqh awr ahadees ki bari and advanced books ke expert ulama-e-kiraam and teachers ke lectures se maximum fayda utha sakenge, InShaAllah.

Basic Aalimiyyat Programme (in a glance) Course Duration Minimum 6 Years Academic Year Shawwaal to Shabaan (from June 11 2021 to March 26 2022, for the academic year 2021-22) Class Days Monday - Tuesday - Thursday - Friday Class Timing Morning Batch: Night Batch: 6:30 am to 8:30 am (tentative) 8:30 pm to 10:30 pm (tentative) (Zarurat pardne par aap batch change kar sakte hain.) Fee 12000/- per annum (salana) (One time payment; 11000) Monthly ek dars Hazrat Shaykh sahab damat barakatuhum ka, InShaAllah. Salient Features 1. Quality Education 2. Flexibility according to learner's convenience 3. No heavy assignments 4. 95% activities including exercises in the class itself 5. Two-way interaction throughout the session 6. Individual attention to all learners 7. Recordings available 8. Lifetime guidance and assistance InShaAllah (as per convenience) 9. Students' (own) study circle and independent and open discussions.

Basic Aalimiyyat Programme (in detail) Ye course aslan (basically) Hazrat Maulana Sayyed Mohammad Talha Sahab Qasmi Naqshbandi DB se islaahi taalluq rakhne waale salikeen ke liye hai, albatta dusre shuyookh (plrl of shaykh) se islahi taalluq rakhne waale salikeen bhi admission le sakte hain. Filhaal Basic Aalimiyyat programme Sirf Mardo'n ( men ) ke liye hi hai. Sirf is short course ke zariye koi complete Aalim nahi ban sakta, ye sirf ek shuru'aat hai. Eligibility for Admission Is course mein admission lene ke liye zaruri hai ke... Aap Ahl-e-Haq mashayekh mein se kisi se islahi talluq rakhte ho'n. Aap Urdu & Arabic script / text ko read kar lete ho'n. Aap common English words & terms ko aasani se samajh lete ho'n. Aap aasani ke saath baghair kisi ki madad ke achhi tarah Internet use kar lete ho'n. Agar aap Urdu yaa Arabic nahi read kar paate tab bhi aap admission le sakte hain, but aap ko ASAP ( jald se jald ) Urdu & Arabic read karna seekhna hoga. But agar aap common English awr Internet use karna nahi jaante, toh please aap hargiz admission na lein. Annual Fee Details (Aalimiyat) Saal bhar ki fee Rs.12000 hai, jisme se Rs.6000 admission ke waqt pay karne honge. Iske baad monthly 2000 pay karne honge. Agar aap enrollment ke waqt one time payment (ek hi baar mein puri fee pay) karte hain toh aap ko sirf 11000 hi pay karne honge. Aap prospectus ke end mein diye gaye bank account detail / UPI QR Code ke zariye ye amount (Rs.6000/-) deposit kar ke payment ka screen shot online form mein photo awr ID ki tarah upload kareinge. Payment ke screen shot ke baghair aap ka admission form accept nahi kiya jaa sakega. Please aap apni fees cash mein kabhi kisi ko na dein, direct bank account mein hi deposit karein. Bank account details and UPI QR Code prospectus ke aakhir mein maujood hai. Without Fee Sponsorship Agar aap Ilm haasil karne ke shauqeen hain, but fee pay nahi kar sakte, toh special permission ke saath enrollment kar sakte hain, InShaAllah. Agar aap kisi student ki fee pay karna, ya JAMIA ka taawun karna chaahte hain, toh ijazat lekar kar sakte hain, InShaAllah.

Basic Aalimiyyat Course CURRICULUM JAMIA ABI HURAIRAH ONLINE ACADEMIC INSTITUTE OF KHANQAH-E-DAR-UL-EHSAN, MUMBAI, INDIA www.jamiaabihurairah.com Year) I) السنة الا ولى ) Year ( II السنة الثانية Primary Classes Basic Urdu Language Educational Etiquettes Arabic Language Nahw Sarf Basics of Belief Urdu Zabaan ka qaida Ibtidayi Urdu Taalimul Muta'allim Duroos Ul Lughatil Arabia 1-2 Ilm-un-Nahw Ilm-us-Sarf Taleem-ul-Islam 1-4 Ta'aruf-e- & Fuqaha Arabic Language Nahw Sarf Arabic Prayers Duroos-ul-Lughatil Arabia 2-3 Ilm-un-Nahw Complete Muallim-ul-Awamil Basics Ilm-us-Sarf Awwalain Al Ad'iatul Masoora Kitaab-ul-Masail Part 1 Year) (III السنة الثالثة Year) (IV السنة الرابعة Middle Classes Sarf Nahw Arabic Arabic Language and Biography of Prophets Hadees Sharif Ilm-us-Sarf Aakhirain Mu'allim-ul-Abwab Mu'allim-ul-Awamil Complete Sharhu-Miati-Aamil Al Qira'at-ur-Raashida Qasas-un-Nabiyeen Part 1 & 2 Zaad-ut-Talibeen Part 1 Kitaab-ul-Masail Part 2 Belief Hadees Sharif Arabic Language Arabic Language and Biography of Prophets Qur'an Translation and Interpretation Al-Aqidat-ut-Tahawiyya Zaad-ut-Talibeen Part 2 Al Qira'at-ur-Raashida Part 2 & 3 Qasas-un-Nabiyeen Part 3-4 Tarjamat-ul-Qur'an: Surah Fatihah and Juz 30 Kitaabul Masail Part 3 Year) V) السنة الخامسة Year) (VI السنة السادسة Upper Classes Advanced Arabic Arabic and Biography ﷺ of the last Prophet Arabic Eloquence Qur'an Translation and Interpretation Usool-e- Al-Qira'at-ul-Waziha Part 3 Qasas-un-Nabiyeen Part 5 Duroos-ul-Balagha Tarjamat-ul-Qur'an: Surah Ankabut to Surah Mursalat Aasan Usool-e- Kitaab-ul-Masail Part 4-5 Usool-e-Tafsir Qur'an Translation and Interpretation Usool e Hadees Hadees Sharif Hadees Sharif and Biography of Sahaba Aasan Usool-e-Tafsir Tarjamat-ul-Qur'an: Surah Baqarah to Surah Qasas Aaasan Usool-e-Hadees Riyad-us-Saleheen Complete Hayat-us-sahaba Arabic (Selected Chapters) Mukhtasar-ul-Quduri

QURAN LEARNING PROGRAMME (FOR MEN AND WOMEN) Course Duration 1 Year Academic Year Shawwaal to Shabaan (from June 10 2021 to March 26 2022, for the academic year 2021-22 Class Days Monday to Friday Class Timing 9:30 PM to 10:30 PM (Men) 7:30 PM to 8:45 PM (Women) Fee 6500/- per annum ( salana ) - 650 monthly Admission Criteria Minimum Age: 12 Years AND RECITE THE QURAN CLEARLY WITH TARTIL, (IN A DISTINCT AND MEASURED TONE) AL-QURAN 78:4 Curriculum Articulation of Arabic alphabet. (picturized) Entire Quran ko bilkul correctly recite karne ke basic rules with practice. (Noorani Qaida + Jamia's Notes) Thoroughly recitational practice of complete Juz-e-'Am [last ( 30th ) para of Holy Quran]. Basic Aqaayed ( Faiths ) awr Masaail Is course mein meaning awr translation ko bilkul nahi rakha gaya hai, uske liye mard hazraat basic alimiyyat course mein enroll kar sakte hain. Fees Payment Details Quran course ki saal bhar ki fees 6500/- hai, jo monthly 650/- ki 10 instalments mein pay karni hogi. Agar aap enrollment ke waqt one time payment (ek hi baar mein puri fee pay) karte / karti hain toh aap ko sirf 6000 hi pay karne honge. Fee ki first installment Rs.650 ki receipt admission form ke saath hi upload karni hai. Shaban course ka last month hai, Ramazan mein class nahi hogi. Please aap apni fees cash mein kabhi kisi ko na dein, direct bank account mein hi deposit karein. Bank account details isi prospectus ke last page par maujood hain.

General Details Class kaisi hoti hai? Ek complete virtual classroom hota hai, jisme aap ke device ki screen par whiteboard, chat box, hand raise karne ka option, attendees list, webcam awr mic sab kuchh hota hai, kitaab ki pdf aap ke saamne khuli hoti hai, awr aap apne speaker par ustaad ki aawaaz ko sunte awr kitaab ko dekhte hain, awr zarurat pardne par usraad apna camera bhi onn kar lete hain. Class link aap ke saath share kar di jaati hai, jiske through aap class join karte hain. Admission confirm hone ke baad live class join karne ki demo video bhi de di jaayegi InShaAllah. Medium / Language Dars ( Lecture ) Urdu zabaan mein hota hai, but zarurat pardne par suitable English words and terms ka use kiye jaate hain Alhamdulillah. Class Recordings Kisi roz live class miss ho jaaye toh Alhamdulillah usually ek ghante ke andar andar us class ki recording provide kar di jaati hai, but live class miss na karein toh achha hai. Hum beginning of the year mein One- Drive-Share-Point ki single link de dete hain, jismein poore saal (whole year) ki recordings gradually upload ki jaati rehti hain, Alhamdulillah

General Details Doubt Clearing Outside The Classroom (Self Study) Assistant teachers 24/7 available honge InShaAllah, aap apni convenience ke mutaabiq unko question send karein, wo apni convenience ke mutaabiq reply kareinge. Agar detail mein baat karni ho toh aap unko message kar ke call ka appointment le sakte hain. Hazrat Shaykh Sahab's Dars InShaAllah basic aalimiyyat mein har mahine (every month) ek dars Mufassir-e-Quran Hazrat Maulana Sayyed Mohammad Talha Sahab Qasmi Naqshbandi DB ka hoga. Certificate for Basic Aalimiyyat InShaAllah course complete karne ke baad ek overall exam pass karne par aap ko Hazrat Shaykh shab DB ki signature ke saath JAMIA ke certificate se nawaza jaayega, jo further studies ke liye aap ke kaam aayega InShaAllah. WhatsApp Group Admission confirm hone ke baad further daily notifications ke liye aap ka number Jamia ke WhatsApp group mein add kar diya jaayega, InShaAllah.

TESTIMONIALS Zakir Ahmed, Software Engineer Munaf Abdul Majeed, Businessman Best online institute where one can learn the syllabus very close to the syllabus of Madaaris with perfection. Zulqarnain, Digital Marketer Jamia uses the best online meeting platforms and other hardware accessories to create the best learning environment Basic Aalimiyyat Course Teachers are full of energy to impart the knowledge, explaining each concept in detail. Mohammad Fazil, IT Auditor Muzammil Ahmad, Software Engineer Before I took this course I was aware of 4-5 tajweed rules. During the course, I learned 28 rules of tajweed. Bushra Wasim, Homemaker Our teacher's focus was on everyone so that we can learn and rectify our mistakes and read Quran the way it should be. For more detailed testimonials, visit www.jamiaabihurairah.com Quran Learning Program I don't recall even a single sentence in any of the books which was skipped without explaining.

Bank Account Detail Account Name: Darul Ehsan Educational and Charitable Trust Account Number: 50200032612188 Bank Name: HDFC Bank Bhiwandi IFSC CODE: HDFC0000733 Visit website to apply for admission online www.jamiaabihurairah.com contact@jamiaabihurairah.com Headquarter: Mumbai (Bhiwandi), Maharashtra. Online Centres: Bhiwandi & Bangalore Contact Numbers: +91 80870 23389 - +91 80779 32993