10/16/2018 Mard Aur Aurat Ki Namaz Me Fark Ke Dalail Ahle Sunnah Wal Jammat Ahnaf (Ulama-E-Deoband) Mard Aur Aurat Ki Namaz Me Fark Ke Dalail NOVEMBER

आकार: px
पृष्ठ पर प्रदर्शन शुरू करें:

Download "10/16/2018 Mard Aur Aurat Ki Namaz Me Fark Ke Dalail Ahle Sunnah Wal Jammat Ahnaf (Ulama-E-Deoband) Mard Aur Aurat Ki Namaz Me Fark Ke Dalail NOVEMBER"

प्रतिलिपि

1 Mard Aur Aurat Ki Namaz Me Fark Ke Dalail NOVEMBER 4, 2014FEBRUARY 23, 2016 / SK AVAIZ HUSSAIN Ghair Muqallideen Namazion Ke Dilon me Shukook Wa Shubhaat peda karne Aur Tarah tarah ke Waswase Dilon me daal raye hai.. Inhi waswaso mese Un logo ka Ek Waswasa yeh Hai ke Mard Aur Aurat ki Namaz me koi Fark Nai hai, jo Farq karte he wo Namaze Ghalat Aur Sunnatk khilaf parhte hain Halaanke Khud inki yeh baat he Ahadis Aur Ta amul Ummat ke khilaf he, Kyuke Mard Aur Aurat ki Namaz me Fark na sirf Sareeh Ahadees se saabit hai bulke shuru se Ummat ka ta amul wa Tawarus bhi Isi ke Mutabik chala Aaraha hai.. Iski Tafseel Aap log Insha Allah Ahadees Ki Roshni Me Mulahiza karenge.. 1) Takbeer Tehreema ke Liye Haat Uthaane Me Fark.. وعن واي ل بن حجر قال : قال لي رسول الله صلى الله علیھ وسل م : «یا واي ل بن حجر إ ذ ا ص ل ی ت.«ف اج ع ل ی د ی ك ح ذ اء أ ذ ن ی ك والم ر أ ة ت ج ع ل ی د ی ھ ا ح ذ اء ث د ی ی ھ ا Tarjuma- Hazrat Wail Bin Hujar Raz Se Riwayat Hai Ke Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihe Wasallam) ne Hazrat Wail bin Hujar Razi se farmaya, jab tum Namaz parho to apne Haath kaano ke Barabar Uthao Aur Aurat apne haath Chaati ke Barabar Uthaye.. (Majmo Uz Zawaid, Jild-02,Safa-103, Maktaba Beroot, Mu jam al Kabeer Tabrani 22/19) 1/14

2 Hazrat Umm Darda Razi Apne Kaandho Tak Haath Uthaati Thi.. (Juz e Rafedain : Safa 66, Musannaf Ibn Abi Shaiba) Hazrat Ata a Tabi ee (Rah) bhi Yahi farmaate Hain Chunanche Ibn Juraij Rah kehte hai ke mene inse pucha ke Takbeer ke waqt kiya Aurat bhi Apne Haatho se uss tarah ishara kare jis tarah Mard karte hai? Toh Unhone Farmaya Nahi Aurat Mardo ki tarah Haath na Uthaye, phir bahot he Past Andaaz me Apne haatho se ishara karke batlaaya Aur Farmaya ke Aurat ke liye (Haath Uthaane ki) kaifiat Mard kisi nahi hai.. (Musannaf Abdul Razzaq, jild-03, Safa-137) 2) Niyat Bandhna Ya Haath Baandhne me Fark Isse Pehli Wali Bayaan karda Hadees Aur Asaar bhi Aurat ka Haath seene pe Baandhne ka suboot he kyuki Mard ke Muqable me Aurat ke liye seene ke barabar haath uthaane me ek Hikmat ye bhi he ke isme Parda ziada he, lihaza Haath baandhne me bhi Is ke liye wahi Hea at ziada munasib hogi jisme Parda ziada hoga Aur woh hai Seene pe Haath baandhna..issliye Hazrat Ata a Tabi ee (rah) he farmaate he ke Haatho ko jitna sukerh sakti ho Utna sukerhe.. (Musannaf Abdul Razzaq, Jild-03, Safa 137) Maulana Abdul Hai Lakhnawi (rah) ne isko sabka I efaaqi masla bataya hai, Chunanche likha he, Aurato ke Haqq me Sabka I ifaaq he ke Unke liye (Auraton) Sunnat, seene pe haath Baandhna hai.. (As sa-aaya, Jild 03, Safa 156) 3) Sajde ki Kaifiyaat me Fark.. Sajde ki kefiat me bhi Mard Aur Aurat Ki Alag Alag he, Mard ko Sajda me Pait Raanose, Baazo Baghal se juda, nez kuhnyia Zameen se utha kar Rakhni chahiye Jabke Aurat in Sab A azaa ko Milakar Aur Simta kar rakhe Chunanche Imam Abu Dawood (Rah) ne apni Maraseel me riwayat karte he ke 2/14

3 عن یزید بن أبي حبیب أ ن رسول الله م ر ع ل ى امرأتین تصلیان فقال : «إذ ا س ج د ت م ا ف ض ما بعض اللحم إلى الا رض فا ن المرأة ل ی س ت في ذل ك كالرجل Tarjumah- Ek dafa Aap (Sallallahu Alaihe Wasallam) Do Aurato ke paas se Guzre jo Namaz parh rahi thi, Toh Aap (Sallallahu Alaihe Wasallam) ne farmaya, Jab tum Sajda karo to Apne Jisam ko Zameen se milado isliye ke beshak Aurat is baare me MARD ki tarah nahi hai.. (Maraaseel Abi Dawood, Mulhiqa Sunan Abi Dawood,Safa 8 Sunan Behaqi,Jild 2, Safa 223, Illa Us Sunan, Jild 3, Safa 19-20) * Yeh Riwayat Shawahid Ke Sath Hasan Darjeh Tak Pahuchti Hai.. عن علي قال : إذا سجدت المرأة فلتحتفر ولتضم فخذیھا Tarjumah- Hazrat Ali (raz) ka Irshad he,aurat jab Sajda kare to Khoob Seimat kar kare Aur Apne Raano ko apne Pait se Milaa leh.. (Musannaf Abdul Razaq, jild 03, Safa 138, Sunan Baihaqi, jild 02, Safa 222, Musannaf Ibne Abi Shaiba, jild 01, Safa 270 Hd.no-2773) *Yeh Aasar Ali Raz Se Jo Hume Milti He Uske Alag Alag Sahih Turq Maujood He, Mussanaf Ibn Abi Shaiba Me Riwayat Abul Ahwaas Se Maujood He Wahin Musanaff Abdur Razzaq Me Isra il Rah Se Milti He.. Ibne Umar (Raz.) Se Marfooan Naqal Kiya Gaya Hai Ke Aurat Jab Sajdah Kare To Apne Peit Ko Raano Se Chipka Le. (Ibne A adi) Hazrat Hasan Basri Aur Qataada (rah) jo Ajilla Tabi een mese hai, Farmaate hain, Jab Aurat Sajda kare to Jitni Simat sakti ho utni Simat jaye Aur khul kar Sajda na kare taake Uski Put Oonchi na hojaye.. (Musannaf Abdul Razaq, jild 03, Safa137) حد ثنا أبو بكر قال نا ابن مبارك عن ھشام عن الحسن قال: المرأة تضم في السجود Tarjumah- Hasan Basri Rah Farmate Hain Ke Jab Aurat Sajda kare to Jitni Simat sakti ho utni Simat jaye.. (Musanaff Ibn Abi Shaiba 1/270) عن إبراھیم قال : إذا سجدت المرأة فلتلزق بطنھا بفخذیھا ولا ترفع عجیزتھا ولا تجافي كما یجافي الرجل Tarjumah- Hazrat ibraheem Rah Farmate Hain Ke Aurat Jab Sajda Kare toh Apne Rahno Ko Pait Ke Sath Chipka Le Aur Apne Kamar Ko Na Ucha Uthaye, Na Hi Mardo Ki Tarah Apne Hatho Aur Pairo Ko Phailaye.. (Musanaff ibn Abi Shaiba 1/303) 3/14

4 عن مجاھد أنھ كان یكره أن یضع الرجل بطنھ على فخذیھ إذا سجد كما تضع المرأة Tarjumah- Imam Mujahid Rah Jo Ibn Abbas Raz Ke Shagird He Farmatey He- Mard Ke Liye Makrooh Hai Ke Woh Aurato Ki Tarah Ranho Ko Pait Se Milkar Sajda Kare.. (Musanaff Ibn Abi Shaiba 1/303) عن عبد الله بن عمر قال قال رسول الله صلى الله علیھ وسلم إذا جلست المرأة في الصلوة وضعت فخذھا على فخذھا الاخرى وإذا سجدت الصقت بطنھا في فخذیھا كالستر ما یكون لھا وان الله تعالى ینظر إلیھا ویقول یا ملاي كتى اشھدكم انى قد غفرت لھا Tarjumah- Hazrat Abdullah bin Umar (raz) ki Marfo Hadees he ke Aap (Sallallahu Alaihe Wasallam) ne Aurat ki Namaz ke baare me Irshad farmaya ke- Aurat jab Sajda kare to Apna pait Apni Raanose Aese Taurpe Chipka le jo isske liye zyada se zyada Parde ka Muajjib ho.. (Sunan Baihaqi, jild 02, Safa 223 Ila Us Sunan jild 3, Safa 31) Tambeeh-Is Hadis me Aap (Sallallahu Alaihe Wasallam) ne jo ye farmaya he ke Ziada se Ziada Parde ka Muajjab ho isse ek Eham Usool Maloom hua ke Aurato ke liye Namaz ki He ath wo Masnoon he jis me Satar yani Parda Ziada se Ziada ho.. Hazrat Abu Saeed Khudri(raz) farmaate he Aap (Sallallahu Alaihe Wasallam) Mardo ko Hukam diya karte te ke Khoob khul kar Sajda kiya kare Aur Aurato ko Hukam diya karte the ke woh Khoob Simat kar sajda kare.. (Sunan Behaqi, jild 02, Safa 222) Tambeeh- Imam Behaqi (rah) ne Hazrat Abdullah Bin Umar(r.a) Aur Hazrat Abu Saeed Khudri (raz) ki in Hadiso ko Zaeef batlaya he, lekin isse Nafse Masla pe koi Asar nai parhta, ek to isliye ke Asal Istidlaal pehle jo Ahadis he unse he. Ye dono Ahadis batoor Istish haad zikar ki gai hai.. Dusra Isliye ke in Ke Zu af ka Jabeera or Tadaruk pehle waali Hadiso se hogaya hai.. Teesrah isliye ke is Mauzu par inse ziada Saheh Koi Hadis inse Ma araz mujood nai hai. Aisi Surat me kisi ki Shakhsi raye ki Banisbat Zaeef Hadis pe Amal karna he Sahih wa Sawaaab hota hai.. 4) Qaide Me Baithne Ki Kaifiyat me Fark 4/14

5 Mard aur Aurat ki Namaz me yeh ke, Qaide me Mard apna Baaya Paao bicha kar iss pe baithte aur apna Daaya Paao kadha rakhe, jab ke Aurato ko apne dono paao Dayain taraf Nikaal kar Bayein Sireen pe Baitna chahiye.. عن نافع عن ابن عمر أنھ سي ل كیف كن النساء یصلین على عھد رسول الله صلى الله علیھ ( وسلم أي في زمانھ صلى الله علیھ وسلم (قال : كن یتربعن ( أي في حال قعودھن (ثم أمرن أن یحتفزن Hazrat Abdullah bin Umar(raz) se poocha gaya ke Aap (Sallallahu Alaihe Wasallam) ke zamaane me Aurate Namaz kis tarah parha karti thi? To unhone farmaya ke pehle Aurate Chaar zaano baithti thi, phir Unko hukam diya gaya ke Khoob Simat kar baitha karein.. *Is Hadith ki Sanad is darje ki he jis ko Muhaddiseen sone ki zanjeer kehte hain Yani Sunehri Sanad Hai.. (Ila Us sunan, jild 3, Safa 20 Musnad Imam Azam, Safa 73) Hazrat Abu Saeed Khudri (raz) farmaate he ke Aap S.A.W Mardo ko Hukam diya karte the ke Tashahudd me Daaya Paaon karha rakhe aur Baaya Paaon bicha kar ispe baitha kare, Aur Auraton ko hukam diya karte the ke woh Chokrhi baithe.. (Sunan Baihaqi, jild 2, safa 223) Hazrat Abdullah bin Umar(raz) Aap S.A.W ka irshad Naqal karte he ke, Aurat jab Namaz me baithe to apni ek Raan doosri Raan pe rakhe. (Sunan Behaqi, jild 2, safa 223 Ila Us Sunan, jild 3, Safa 25) حد ثنا أبو بكر قال نا أبو خالد عن محمد بن عجلان عن نافع أن صفیة كانت تصلي وھي متربعة Tarjumah-Nafi Rah(Mawla Ibn Umar raz Se Marvi He Ke Sayyidah Safiya Raz Namaz Me Tarabbu(Chaar Zano) Baitha Karti Thi.. (Musanaff Ibn Abi Shaiba 1/303) حد ثنا أبو بكر قال نا وكیع عن العمري عن نافع قال: كن نساء ابن عمر یتربعن في الصلاة Tarjumah- Nafi Rah Farmate He Hazrat Ibn Umar Raz Ki Gharki Auratein Namaazo Me Tarabbu(Chokadi) Baitha Karti Thi.. (Musanaff Ibn Abi Shaiba 1/303) عن خالد بن اللجلاج قال: كن النساء یو مرن أن یتربعن إذا جلسن في الصلاة ولا یجلسن جلوس الرجال على أوراكھن 5/14

6 Tarjumah- Khalid Bin Lajlaaj Rah Farmate He Ke Aurato Ko Hukam Diya Gaya He Ke Vo Namaz Me Choukadi Baithe Unhe Mardo Ki Tarah Nai Baithna Chaiye.. (Musanaff Ibn Abi Shaiba 1/303) Tambeeh-Namaz se Baahir ki chokhri to wahe he jise Aalti Paalti kehte he yani Daaya Paao Baaye Gutne ke neeche aur Baaya paao Daaye Gutne ke neeche de kar baitna, aur Namaz ke Andar ki chokhri yeh he ke Daaya Paao Daye Surain ke saath (bahir ki taraf) aur Baaya Paao Daaye Raan ke saath (Andar ki taraf) mila kar surain pe Baita jaye.. (Aujzul Masalik, jild 01, safa 258) Namaz ki is k Ilawa ek aur bethak bhi hai jisse Tawarruk kehte he, wo he apne Dono paao daaye taraf Nikaal kar Baaye sireen pe baitna. Aurate pehle Namaz me Chokrhi baitha karti thi isme chunke Tawarruk ki Banisbat Phelao ziada tha isliye baad me inko Tawarruk ka Hukam diya gaya ke isme Chokrhi ki Ba-nisbat Simtao Ziada tha.. 5) Sarr Dhaanp Me Fark Mard agar Nange sarr Namaz parhe to hojaati hai, agarche bilawaja aisa karna MAKROOH hai, lekin Aurat ka poora sarr nahi bulke agar sirf chauthai (4th) sarr bhi khula rahe to iski namaz nahi hoti.. Hazrat Aisha Raz Aap (Sallallahu Alaihe Wasallam) ka irshad Naqal farmaati he k, Baaligha Aurat ki Namaz Allah ta ala bagher Odhni ke Qubool nahi karta (yani Sahih nahi hti) (Sunan Abu Dawood, jild 1,safa 94 Sunan Tirmizi, jild 1, safa 75 Sunan Baihaqi, jild 2, safa 233 Musannaf Abdul Razzaq, jild 3, Safa 130) 6) Ba-jama atnamaz ki Afzaliat me Fark Mardon ke liye to Afzal balke Zaruri ye he ke wo Farz Namaz Bajama at Ada kare jab ke Aurato ke liye Afzal ye he ke wo Bilah Jama at, Alehda Alehda Namaz parhe.. Aurato ki Jama at se mutallik Aap (Sallallahu Alaihe Wasallam) ne farmaya, Aurato ki Jama at me koi bhalai nai he illa ye ke Masjide Jama at me (mardo ke sath) ho.. (Rawahul Ahmed Wal Tibraani Fil Ausat, Bahawaala, Ila Us Sunan, jild 4, safa 214) 6/14

7 6) Agar Aurat Imaamat Aurato ki Kare To Uske Qayaam me Fark.. Agar Mard Imaam Hoto Saff se Aage Nikal kar khada hota ha jab ke Aurat Imaam ko Saff ke andar he khada hona chahiye, Chaye Wo Farz Namaz Ho Ya Nawafil Aurat Ko Darmiyane Saff Khadi Hona Chaiye.. Mard Imaam Bane Toh Qiyaam ke baare me.. Hazrat Samra bin Jandub Raz bayaan karte he ke, Rasoolullah S.A.W ne humko Hukam diya ke jab hum 3(Teen) Aadmi ho (aur Namaz Bajama at parhne lage) to ek hum mese Aaghe hojaya kare.. (Sunan Tirmizi, jild 1, safa 54) Aur Agar Aurat Imaamat Kare Toh Qiyaam ke baare me Hazrat Abdullah bin Abbas Raz farmaate he, Aurat (agar) Aurato ki Imaam bane toh unke Darmiyaan khadi ho. (Musannaf Abdul Razaq, jild 3, safa 140) Ek Dafa Hazrat Aisha Raz ne farz Namaz me Aurato ki Imamat karayi toh unke darmyaan khadi hui. (Musannaf Abdul Razzaq, jild 3,safa 141 Kitaab-ul-Aasaar,Safa 43) Hazrat Umme Salma Raz ne ek dafa Asar ki Namaz me Aurato ki Imamat karwayi toh hamaare (Auraton Ke Saff Ke) darmyaan khadi hui.. (Musannaf Abdul Razzaq, jild 3, safa 140 Sunan Baihaqi, jild 3, safa131 Nasbur Raaya,jild 2, safa 31) 7) Aurat Ki Behtareen Masjid Unke Ghar Hai Lekin Mardo Ko Farz Namaz Ba-Jamaat Masjid Me Parhna Wajib Hai.. Hazrat Abdullah bin Umar Raz Aap (Sallallahu Alaihe Wasallam) ka irshaad Naqal karte he ke, Apni Aurato ko Masjido (me Aane) se Mana na karo, lekin Unke liye zyada Behtar Unke Ghar he hain.. (Abu Dawood, jild 1, Safa 84 Sunan Baihaqi, jild 3, Safa 131) Hazrat Abdullah bin Masood Razi se riwayat he ke Rasool ullah (Sallallahu Alaihe Wasallam) ne farmaya, Aurat ka apne Sone ke kamre (Bedroom) me Namaz parhna Baraamde(Courtyard) me Namaz padhne se Afzal he aur iss ka pichli Kotrhi me Namaz parhna Agle Kamre me Namaz parhne se Afzal hai.. (Sunan Abi Daud, jild 1, safa 84 Sunan Baihaqi, jild 3, safa 131) 7/14

8 Umme Salma Razi farmati Hai ke Nabi E Kareem S.A.W ne farmaya ke Aurato ki behtareen Masjide unke Gharon ke Androoni Hisse hai.. (Sunan Baihaqi, jild 3, safa ) ما صل ت امرأ ة م ن ص لاة أ ح ب إ لى الله م ن أ ش د مكان في ب ی ت ھا ظ ل مة. رواه الطبراني في الكبیر ورجالھ موثقون Tarjumah- Aap (Sallallahu Alaihe Wasallam) ne farmaya ke Aurat ki Namazo me se Allah ta ala ko uss ki woh namaz sabse zyada mehboob hoti hai jo wo apne Ghar ke taareek tareen Goshe(Ghar Ka Sabse Andhera Wala Hissa) me padhti hai.. (Sunan Baihaqi, jild 3, safa 131, Majmua Az Zawaid Jild 2 Safa 156) * Imam Haismi Rah Farmate He Isko Imam Tabarani Ne Apni Kabeer Me darj Kiya He Aur Iske Sare Rijaal Siqah Hain.. Aap Salalallahu Alaihi Wassallam Ke Mubarak Daur Me Aurate Beshaq Masjidey Jaye Karti Thi Magar Aap S.A.W Ke Jane Ke Baad Aurato Ne Woh Surat Ikhtiyaar Kar Liya Ke Unka Haal Ammi Ayesha Raz Yu Bayaan Karti Hain.. Hazrat Aisha Raz irshaad farmati He Aurato ne jo Nayi rosh ikhtiyaar karli he, Agar Rasoolullah S.A.W isko dekh letey toh Aurato ko Masjid se rok dete, jis tarah Bani Israil Ki Aurato ko rok diya gaya tha.. (Sahih Bukhari, jild 1, safa 120 Sahih Muslim, jild 1, safa 183 Muwa a Imaam Malik, Safa 184) 8) Saffo ki Kheriat wa Shariiat me fark.. Jaisa ke isse pehle Ahadeeso Me Malum hochuka ke Aurato ki Namaz apne Ghar me he Afzal he, lekin is ke bawajood agar woh Masjid me he Aakar Mardo ke sath unki Imamat me Namaz parhe,toh phir Aurat Aur Mard Ki Saffo Ke Mu alik Bhi Fark He.. Mardo ki Saffo me toh Behtareen Saff Sabse pehli, aur Bad-tareen sabse Aakhri Saff he, jab ke Aurato ki Saffo ka Muamla iske Bilkul Barakhs he ke unki behtarin Saff sabse aakhri, Aur badtareen Sabse pehli Saff hai Chunanche.. Hazrat Muhammad S.A.W ka Irshaad he, Mard ke liye Behtareen Saff Pehli aur Bad-tareen Aakhri he, jabke Aurato k liye Behtareen Aakhri jabke bad-tareen pehla hai. (Sahih Muslim, jild 1, Safa 182 Abu Dawood, jild 1, safa 99 Tirmizi, jild 1, safa 52 Nasaai, jild 1, safa 131 Ibne Maajah,Safa 70) 9) Salahyiat-e-Imamat me Fark.. 8/14

9 Mard toh Imaam ban sakta he lekin Aurat Mardo ki Imam nahi ban sakti, Aur iss Baat Par Puri Ummat Ka Ijma Hai Dekhiye Al Mughni Wagaira Iske Alawah Nabi E Pak S.A.W Ne Mana Bhi Kiya Hai.. Hazrat Jabir Bin Abdullah Raz Se Riwayat He Ke Nabi E Pak Salalallahu alaihi Wassallam Ne Farmaya Ki Khabardar! Koi Aurat Mardo Ki Imamat Nahi Karaye.. (Sunan Ibn Majah Jild 2 Safa 15,16 Hd.no-1081, Sunan Kubra lil Baihaqi, Musanaff IbnAbi Shaiba Ba ab- Salatul Salaba) 10) Apne Imaam ko Mutambeh karne ke tarike me Fark Agar Imaam bhooll jaye Aur isko Mutambeh (khabardaar) karne ki zarurat Pesh aaye toh Mard to Tasbeeh yani Subhaan Allah keh kar Mutambeh kare, Aur agar koi Aurat Mutambeh kare to Tasfeeq se, yani apne Daahne Haath ki Hatheli Baaye Haath ki Pusht pe maar kar Mutambeh kare Chunanche عن أبي ھریرة رضي الله عنھ عن النب ي صلى الله علیھ وسل م قال» التسبیح للرجال والت صفیق» للنساء Tarjumah-Abu Hurairah Raz Se Riwayat He Ke Nabi (Sallallahu Alaihe Wasallam) Farmate he ke, Tasbeeh (Subhan Allah) Mardo k liye aur Tasfeeq Aurato ke liye.. (Sahih Bukhari, jild 1, safa 160 Sahih Muslim, jild 1, safa 180 Abu Dawood, jild 1, safa 135) 11) Azaan wa Ikaamat ki Masnooniat me Fark Ek Fark Mard or Aurat ki namaz me ye bhi he ke Mardo ke liye to Azaan wa Ikamat Sunnat Muakkida ke darje me Masnoon he aur Aurato ke liye na Azaan aur na he Ikamaat Masnoon hai Chunanche Hazrat Abdullah bin Umar Razi se Sahih Sanad ke saath Naqal he ke Aurato pe na Azaan he na Ikamat (Sunan Baihaqi, jild 1, safa 408) Huzoor Paak (Sallallahu Alaihe Wasallam) farmaate he, Aurato pe na Azaan he, na Ikamat, na Ghusal-e-jumma, Aur na (basoorat-e - imamat) Aurato se Aage barhna, balke unke beech me khadhi hon.. (Sunan Baihaqi, jild 1, safa 408) 9/14

10 عن نافع عن ابن ع م ر أن ھ ق ال : ل ی س ع ل ى الن س اء أ ذ ان و لا إ ق ام ة Tarjumah- Nafi Rah Riwayat Karte He Ibn Umar Raz Se Ke Rasool Ullah Salalallahu Alaihi Wassallam Ne Farmaya-Aurato Ke Liye Azaan Aur Iqamat Lazim Nahi.. (Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild 2 Safa 169) 12) Farziat-e-Jumma me Fark.. Ek Aur Fark Mard Aur Aurat ki Namaz me ye he ke Mardo pe Jumme ki Namaz Apni Sharton ke sath farz he, jiske bila Uzzar Tark Karne pe Sakht Tareen Waeede(pakad) Ahadis me warid hui he, lekin Aurato Pe Jumma na Farz he or na iske Tark pe unke liye koi waeed (Pakad) Chunaanche, عن أبي موسى عن النبي قال :» ال ج م ع ة ح ق واج ب على ك ل م س ل م في ج ماع ة إ لا أ ر ب ع ة ع ب د م م ل وك أ و ام رأ ة أ و ص ب ي أ و م ریض. «ھذا حدیث صحیح على شرط الشیخین Tarjumah- Nabi e Kareem S.A.W Farmate he, Jumma Haq he, Aur Bajama at har Musalmaan pe waajib he, Ilawa 4 Aadmiyo ke.. 1) Ghulaam 2) Aurat 3)Bacha.. 4)Mareez.. (Sunan Abu Dawood jild 1,safa 153 Kitaab-ul-Aasaar, Safa 41, Baab: Jumme ki Namaz,Mustadarak Hakim 1/423) * Imam Hakim Rah Farmate He Sahih Ala Sharte Sahihain (Bukhari Wa Muslim Ke Shart Pe Sahih Hai) * Imam Zehbi Rah Ne Bhi Imam Hakim Rah Ke Qaul KiTasdeek Ki (Takhreej Mustadarak Hakim Lil Zehbi) GHAIR MUQALLIDEEN KE BAZURGO KE FATWE 1) Ghair Muqallid Ameer Yamaani rah ne Sablus Salam me, 2) Maulana Abdul Jabbar Ghaznavi ne Fatawa Ghaznavia, p#27-28 me, 3) Aur Maulvi Ali Muhammad Saeedi ne Fatawa Ulma Hadees, jild 3, safa 149 me Fi Nafsuhu is fark ki tasreeh ki hai.. 4) Chand Dahay (Decades) Pehle Tak Maujoodah Hindustani Jama t Ahle Hadees Ka Bhi Yehi Maslak Tha Jaisa Ke Unki Kitab Nuzlul Abraar, Risaalah Ta leem As-Salaath Se Ma loom Hota Hai Jisme Aurto n Ko Mardo n Ki Tarah Sajdah Karne Se Mana Kiya Gaya Hai.. (Tafseel Ke Liye Dekhiye Majmua Rasaa il Wa Maqaalaat Jild Duwwam) 10/14

11 GHAIR MUQALIDEEN KE DALAIL KA ILMI JAIZA 1) Malik Bin Huwairus Raz Kehte hain ke Hum Nabi Alaihe Salam ki Khidmat main Hazir huye, Hum Sab Hum Umar Aur Naujawan the (Yani Koi Aurat sath nahi thi) Nabi Alaihe Salam ki Khidmat main Hamara 20 Din aur Raat Qayam raha, Jab hum Ghar Jane Lage toh Nabi Alaihe Salam ne (Aurton ko Nahi Farmaya Balke Jo Mard aye the unko) Farmaya- Namaz Iss Tarah Parhna Jese Tum Ne Mujhe Parhte dekha hai Aur Jab Namaz ka Waqt ho jaye toh Koi Ek Aazan de, Aur Jo Tum main Sabse Bada ho Woh Namaz Parhaye (Sahih Bukhari, Hd.no- 631, Kitab ul Aazan, Baab: Aazan ul Musafir) JAWAAB- Yeh Mukammal hadees he Kuch Log Aadhi Hadees pesh krke kehte hain Yeh Hukum Mardon aur Aurton ko he Halan k Aurtain tou Sath thi he nahi. Lekin Phir bhi Agar koi kahe ke Mardo aur Aurton dono ko Kaha Gaya hay toh bhi Nabi Alaihe Salam ke Pure Farman- Jab Namaz ka Waqt hojaye toh Koi Ek Aazan de pe amal karte hoye Apni Behan, Beti Ko Kaho ke Wo Aazan de, Phir Nabi Alaihe Salam ke Iss Farman- Jo Tum main Sabse Bada ho Wo Namaz Parhay Pe Amal Krte huye Apni Dadi,Nani,Par Dadi se Kahe Ke Wo Tum Sab ko Namaz Parhaye, Agar aisa Nahi kar sakte Toh Zidd chor ke Mann lein ke Yeh hukum sirf Mardon ke Liye Hay aur Maan Lo ke Mard aur.aurat ki Namaz main Farq Hai.. 2) Ghair Muqallideen Ek Hadees Pesh Karte He Ke.. Umme Darda Rah Mardo Ki Tarah Namaz Me Baitha Karti Thi.. (Sahih Bukhari, Musanaff Ibn Abi Shaiba Jild 1 Safa 270) JAWAB NO. 1 Ghair Muqallideen Kehte He Ke Yeh Umme Darda Rah Sahabiyya Thi Magar Yeh Galat He Jaise Ghair Muqallideen Ke Harr Tehqeeq Majhool Aur Kamzoor Aur Mauzu Hoti he Magar Asal aur Sahih Tehqeeq To Yeh He Yeh Umme Darda As Shughra Tabii He Chunanche *Imam Mizzi Rah Farmate He Ke Yeh Umme Darda As Shugra Tabi Mese Thi.. (Tehzeeb Ul Kamaal Lil Mizzi Jild 22 Safa 64) * Issi Tarah Imam Ibn Hajar Asqalani Rah Farmate He Yeh Umme Darda As Shugra rah Tabi He Jinse Sirf Maqhool Ne Riwayat Kiya Hai (Fathul Ba ari Sharh Sahih Bukhari Lil Ibn Hajar Asqalani Jild 2 Safa 243) * Imam Baddruddin Aini Rah Farmate He Yeh Umme Darda As 11/14

12 Shugra Hain Jo Tabi He yeh umme darda al kubra sahabiya nahi he.. Maqhool Ki Mulakat Umme Darda As Shugra(Tabain) Se Hui Thi Na Ke Umme Darda Al-Kubra Razi Sahabiyah Se.. (Umdatul Qari Sharh Sahih Bukhari Jild 6 Safa 101) JAWAB NO. 2 Yeh Riwayat Isteerab Wali Riwayat He Joke Zaef hoti He Kyuki Yeh Umme Darda Se Sahi Sanad Se Alag Matan Ke Sath Alaida Asaar He Jisse Pata Chalta He Vo Namaz Me Mardo Ki Tarah Nahi Baitha Karti Thi Chunanche أ م ال در داء ت صل ي م ت رب عة Ibrahim Abi Ablah Se Riwayat He Tarjumah- Umme Darda Rah Ne Chaar Zanu Baithkar Namaaz Ada Ki (Tehzeeb Ul Kamaal Lil Imam Mizzi Jild 22 Safa 468, Tuhfa Al- Akhyaar, vol 2, pg 338, Dar Balansiyya) JAWAB NO. 3 Ghair Muqallideen Ke Nazdeek Ummatiyo Ka Qaul Aur Fail Hujjat Nahi Agar Quran Ahadees Se Takraye.. (Tareeq Muhammaddi Safa 54 Issi Tarah Sahabi Ka Qaul Wa Fail hujjat Nahi He Dekhiye At Taajul Mukallal Lil nawab Sahab Bhopali Safa 292, Fatawa nazeeriya Jild 1 Safa 340 Wagairah) Chunanche Umme Darda As Shugra Tabi Ka Qaul Upar Ke Sahih Tareen Ahadees Ke Khilaf He Lihaza Ap Tark Kardein.. JAWAAB NO. 4 Imam ibn Hajar Asqalani Rah Farmate He Ke Akela Tabain Ka Amal Hujjat Nahi Agarche Vo Usool Ke Khilaff Bhi Na Hoto.. (Fathul Ba ari lil Ibn Hajar Jild 2 Safa 243) Lehaza agar Usool E Hadees Ka Zabta He Ke Akela Tabain Ka Amal Hujjat He Nahi Toh Ghair Muqallideen Nabi S.A.W Aur Sahaba Ko Chordh Kar Ek Tabi Amal Ko Kyu Leke Baith gaye He!! ASLAF-E-UMMAT KE QAUL 1) Imam Baihaqi Farmate Hain ما یفارق المرأة فیھ الرجل من أحكا م الصلاة راجع إلى الستر Tarjumah- Aurat Aur Mard Ki Namaz Me Fark Karne Wali Cheez Yeh Hai Ke Aurat Namaz Uss Tarah Parhe Jo Uske Liye Zyada Poshida (Satr) Ho.. (Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild 2 Safa 222) 12/14

13 2) Imam Nawawi Shafi Rah ( H) Farmate Hain.. قال الشافعي رحمھ الله فى المختصر :ولا فرق بین الرجال والنساء في عمل الصلاة إلا أن المرأة یستحب لھا أن تضم بعضھا إلى بعض وأن تلصق بطنھا بفخذیھا فى السجود كا ستر ما یكون وأحب ذلك فى الركوع وفي جمیع الصلاة وأن تكثف جلبابھا وتجافیھ راكعة وساجدة لي لا یصفھا ثیابھا وأن تخفض صوتھا وإن نابھا شيء في صلاتھا صفقت ھذا نصھ Tarjumah- Imam Shafi Rah Apni Al-Mukhtasar Me Farmate He Ke Aurat Aur Mard Ki Namaz Me Fark Nahi Hai, Siwaye Iske Ke Aurat Apne Badan Ko Semat Le Aur Sujood Ke Waqt Apne Ranno Ko Pait Se Milakar Sajda Kare Aur Yehi Zada Poshida (Satr) He Aur Ruk Me Aur Puri Namaz Me Bhi Aur Yehi Qaul Imam Shafi Ka Hai.. (Al Majmoo Sharh Muhazzab Lil Nawawi 3/495) قال أصحابنا: المرأة كالرجل في أركان الصلاة وشروطھا وأبعاضھا وأما الھیي ات المسنونات (3 فھي كالرجل في معظمھا وتخالفھ فیما ذكره الشافعي وىخالف النساء الرجال في صلاة الجماعة في أشیاء Tarjumah- Hamare Ashab Kehte He Ke Aurat Kuch Jagah Namaz Me Mard Jaisi Nahi Jo Imam Shafi Rah Ka Qaul He.. Aur Aurat, Mard Se Bajamaat Namaz Me Fark Hai.. (Al Majmoo Sharh Muhazzab Lil Nawawi 3/495) المراة تخالف الرجل في افعال الصلاة (4 Tarjumah- Shaikh Abdul Hai Lucknawi Rah Farmatey Hain-Aurat Aur Mard Ki Namaz Ke Harkat Me Fark Hai.. (Al Si aayah Jild 2 Safa 205, Suhail Academy) قال أحمد: والسدل أعجب إلي. واختاره الخلال. قال علي رضي الله عنھ: إذا صلت المرأة (5 فلتحتفز ولتضم فخذیھا وعن ابن عمر رضي الله عنھما كان یا مر النساء أن یتربعن فى الصلاة Tarjumah- Imam Ahmad (Bin Hanbal) Rah Farmate Hain-Mere Nazdeek Sadl Behtar Ha (Aurto Ke Liye Namaz Me) (Al Mugni Lil Ibn Qudama Hambali 2/259, Dar Alam Al-Kutub) قلت : كیف تسجد المرأة وكیف تقعد للتشھد قال: كیف كان أستر (6 Tarjumah- Abdullah Kehte He Me Ne (imam Ahmad) se pucha Ke Aurat Ki Sajda Aur Tasahhud Ki Kaifiyat Kaisi Ho? Imam Ahmad farmate He- Jo Uske Liye Zada Poshida(Satr) Ho. (Masa il Al Imam Ahmad Bin Hanbal Riwayat Ibnihi Abdillah Ibn Ahmad, Al Maktab Al Islami Safa 79) 7) Aur Do Qaul Hai Jisme Ek Yehi Qaul Hai Jamhoor Ka Qaul Ki Tarah Hai Ke Aurat Ko Jitna Hosakhe Satr Lupt Hokar Namaz Parhe Jo Mard Ke Liye Nahi Hai Yeh Qaul Al 13/14

14 Mudawwanah Tul Kubra Me Maujopd Hai.. (Kifayat al Talib al Rabbani,Matba ah al Madani, 1/551,552) Mere Islami Bhaiyon Ab Dekhte He Asli Salafi Kaun Hain!!! Allah Hume Haqq Janne Aur Samajhne Ki Taufeeq Ata Kare.. Ameen.. Aurat Aur Mard Ke Namaz Me Farq Ke Dalail CREATE A FREE WEBSITE OR BLOG AT WORDPRESS.COM. 14/14

वह एक नव मुस्लिम है और अपने पास कुत्ता रखना चाहती है

वह एक नव मुस्लिम है और अपने पास कुत्ता रखना चाहती है वह एक नव म स ल ह और अपन प स क त त रखन च हत ह حديثا وتر د إبقاء للكب عندها مت أسل ] هندي - Hindi [ fgunh - अन व द : स इट इस ल म प रश न और सम य जन : स इट इस ल ह उस رمجة: موقع الا سلام سو ال وجواب تنسيق:

अधिक जानकारी

इस्लाम की सहिष्णुता

इस्लाम की सहिष्णुता इस ल क स हष ण त سماحة الا سلام ] هندي - Hindi [ fgunh - म हम म बन इब र ह अत-त व जर مد بن إبراهيم تلو ري अन व द : स इट इस ल म प रर और सम य जन : स इट इस ल ह उस رمجة: موقع الا سلام سو ال وجواب تنسيق: موقع

अधिक जानकारी

Zikr-e-ilahi (Hindi)

Zikr-e-ilahi (Hindi) ज क र इल ह भ षण हज रत म र ज बश र द न महम द अहमद ख ल फत ल मस ह स न रज अल ह अन ह न म प स तक : ज क र इल ह Name of book : Zikr-e-ilahi भ षण : ह र त जम बश र द न महम द अहमद ख ल फ त ल मस ह स न रज अल ह अन ह Lecture

अधिक जानकारी

अल्लाह तआला हमारी दुआओं को क्यों नहीं स्वीकार करता ॽ

अल्लाह तआला हमारी दुआओं को क्यों नहीं स्वीकार करता ॽ अल ल ह तआल हम र द आओ क क य नह स व क र करत ॽ ملاذا ال يستجيب اهلل دلاعئنا [ هندي & Hindi ] fgunh & और अल ल ह तआल ह सववश र ष ठ ज ञ न रखत ह حممد صالح املنجد अन व द : स इट इस ल म प रश न और उत तर सम य जन :

अधिक जानकारी

ईद के अहकाम और उसकी सुन्नतें

ईद के अहकाम और उसकी सुन्नतें ईद क अहक म और उसक स न नत ] هندي & Hindi [ fgunh & 'ks[k eqgeen fcu lkysg vy&mlsehu jfgegqyykg vuqokn% vrkmjz Zgeku ft+ +;kmyykg 2011-1432 اكم العيد والسن اليت فيه» اللغة اهلندية «لشيخ مد بن صالح العثيم

अधिक जानकारी

Sharu Ramzaan REVISED

Sharu Ramzaan REVISED रमज़ न क मह न और करन क क म ड टर फरहत ह शम अ ल ह अल ह क न म स क न म स ज बहत म हरब न ज बहत म हरब न नह यत रहम करन व ल ह नह यत रहम करन व ल ह شھ ر رمضان रमज़ न क मह न और करन क क म क़रआन और स नत क र शन म ड टर फरहत

अधिक जानकारी

मुसलमान लोग अल्लाह के ईश्दूत ईसा का जन्मदिवस क्यों नहीं मनाते जिस तरह कि वे अल्लाह के ईश्दूत मुहम्मद सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम का जन्मदिवस मनाते हैं?

मुसलमान लोग अल्लाह के ईश्दूत ईसा का जन्मदिवस क्यों नहीं मनाते जिस तरह कि वे अल्लाह के ईश्दूत मुहम्मद सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम का जन्मदिवस मनाते हैं? म सलम न ल ग अल ल ह क ईश द त ईस क जन मददवस क य नह मन त जजस तरह कक व अल ल ह क ईश द त म हम मद सल लल ल ह अल दह व सल लम क जन मददवस मन त ह? ملاذا ال حيتفل املسلمون بمودل نيب اهلل عيىس كما حيتفلون بمودل نيب اهلل

अधिक जानकारी

दिन और रात की हज़ार सुन्नतें

दिन और रात की हज़ार सुन्नतें www.rasoulallah.net व षय स च आप यह दर ज क स प प त कर सकत ह क परम श वर सर वशवत म न ख द आप स पय र करन लग? न द स ज गन क स न नत ब थर म म प श करन और ब हर न कलन व ज़ क स न नत म स क ज त -चपपल पहनन क स न नत प

अधिक जानकारी

श न त क सन द श और एक चद त वन लद खक हज रत ह फ ज म र ज न स र अहमद ख ल फ त ल मस ह त त य रह.

श न त क सन द श और एक चद त वन लद खक हज रत ह फ ज म र ज न स र अहमद ख ल फ त ल मस ह त त य रह. श न त क सन द श और एक चद त वन लद खक हज रत ह फ ज म र ज न स र अहमद ख ल फ त ल मस ह त त य रह. न म प सतक - Name of Book : लद खक - Written By : अन व दक - Translated By : श न त क सन द श और एक चद त वन Shanti Ka

अधिक जानकारी

Ismat-e-Anbiya (Hindi)

Ismat-e-Anbiya (Hindi) (नब य क सच चर त रत ) म क त क स प रक र म ल सकत ह और उसक व सतबवक फ़ ल स कय ह? ल खक हज़रत म र ज़ ग़ ल म अहमद क़ द य न मस ह म ऊद व महद म ह द अल ह ससल म I न म प सतक Name of book ल खक Writer अन व दक Translator ट

अधिक जानकारी

Khuda Taa'la ke Moujood Hone ke Das Pramaan

Khuda Taa'la ke Moujood Hone ke Das Pramaan ख द तआल क म ज द ह न क दस प रम ण ल खक हज़रत म र ज़ बश र द न महम द अहमद ख़ल फ़त ल मस ह मव त य रज़ I न म प सतक : Name of book : Khuda Taa'la ke Moujood Hone ke Das Pramaan ल खक : हज़रत म र ज़ बश र द न महम द अहमद

अधिक जानकारी

Batalwi our Chakdalwi ke Mubahasa par Review

Batalwi our Chakdalwi ke Mubahasa par Review बट लव और चकड लव क म ब हस पर र व य ल खक हज़रत म र ज़ ग़ ल म अहमद क़ द य न मस ह म ऊद व महद म ह द अल ह ससल म I न म प सतक Name of book ल खक Writer अन व दक Translator ट ईप ग, स ट ग Typing Setting स सकरण तथ वर ष

अधिक जानकारी

Kashti Nooh (Hindi)

Kashti Nooh (Hindi) ल खक हज़रत म र ज़ ग़ ल म अहमद क़ द य न मस ह म ऊद व महद म ह द अल ह ससल म I न म प सतक Name of book ल खक Writer अन व दक Translator ट ईप, स ट ग Type, Setting : कशत न ह : Kashti Nooh : हज़रत म र ज़ ग़ ल म अहमद क़ द

अधिक जानकारी

इसलाम में इबादत की शर्तें

इसलाम में इबादत की शर्तें ६Tइसल म म इब दत क शत ६T ] هندي & Hindi [ fgunh & 'ks[k eqgeen fcu lkysg vy&mlsehu jfgegqyykg vuqokn% vrkmjz Zgeku ft+ +;kmyykg 2011-1433 شوط العبادة ف الا سلام» اللغة اهلندية «الشيخ مد بن صالح العثيم رمجة:

अधिक जानकारी

Ahmadi Purushon Ko Swarnim Updesh

Ahmadi Purushon Ko Swarnim Updesh अहमद प र ष क स वर ण म उपद श ख़ त ब ज मअ: हज़रत म र ज़ मसर र अहमद ख़ल फ़त ल मस ह प चम अय यदह ल ह तआल ब नस र रहल अज़ ज़ द न क 19 मई 2017 ई. स न - मससजद ब त लफ त ह, म र डन, य.क. न म प स तक - Name of Book : ख़ त ज

अधिक जानकारी

Slide 1

Slide 1 March 2015 एक स द श स प दक क ओर स Editor s message ह न द सम ज क प र य सदस य, ल म, 15 फ रवर क म र ख ल हदवस क द र न आप स एक ब र फ र स ममलन क स भ ग य प र प त य This provided an opportunity for all present

अधिक जानकारी

Seerat-ul-Abdal (Hindi)

Seerat-ul-Abdal (Hindi) ल खक हज़रत म र ज़ ग़ ल म अहमद क़ द य न मस ह म ऊद व महद म ह द अल ह ससल म I न म प सतक Name of book ल खक Writer अन व दक Translator ट ईप ग, स ट ग Typing Setting स सकरण तथ वर ष : स रत ल अबद ल : Seeratul Abdaal

अधिक जानकारी

पैगंबर मुहम्मद सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम पति के रूप में

पैगंबर मुहम्मद सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम पति के रूप में द व रव त यव र हज़रत प ग बर म हममद पत क र प म द व रव त यव र हज़रत प ग बर म हममद पत क र प म व षयस च 6 8 14 17 22 25 28 34 39 49 53 5 हज़रत प ग बर-उन पर इश वर क क पव और सलव म ह - अपन पव त र पतन य क सव थ क

अधिक जानकारी

Jama'at Ahmadiyya Ke Aqaed - Hindi

Jama'at Ahmadiyya Ke Aqaed - Hindi (आस ए ) द र सयय न हज़रत म र ज़ बश र द न महम द अहमद ख़ल फ़त ल मस ह स न रज़ न म प स तक : जम अ त अहमद य क अक़ द (आस ए ) Name of Book : Jamaat Ahmadiyya Ke Aqeede ल खक Writer : हज़र त म र ज़ बश र द न महम द अहमद ख़ल

अधिक जानकारी

Dawat ilallah Ki Ahmiyyat Aur Zarurat

Dawat ilallah Ki Ahmiyyat Aur Zarurat द वत इलल ह क अहम यत और ज र रत इख तत म ख त ब सय यदन हज रत म र ज मसर र अहमद ख ल फ त ल मस ह प चम अय यदह ल ह तआल जलस स ल न जर मन 2015 क अवसर पर न म क त ब द वत इलल ह क अहखम यत और ज र रत सम पन भ षण हज रत म र

अधिक जानकारी

हो गई है पीर पर्वत-सी पिघलनी चाहिए – – दुष्यन्त कुमार,आओ! मगर ठहरो / निधि सक्सेना,कोशिश कर, हल निकलेगा (Anonymous),समर शेष है – रामध

हो गई है पीर पर्वत-सी पिघलनी चाहिए – – दुष्यन्त कुमार,आओ! मगर ठहरो / निधि सक्सेना,कोशिश कर, हल निकलेगा (Anonymous),समर शेष है – रामध ह गई ह प र पर वत-स पघलन च हए द ष यन त क म र ह गई ह प र पर वत-स पघलन च हए ह गई ह प र पर वत-स पघलन च हए, इस हम लय स क ई ग ग नकलन च हए आज यह द व र, परद क तरह हलन लग, शर त ल कन थ क य ब नय द हलन च हए हर सड़क

अधिक जानकारी

Ahmadiyyat Ka Paigham (Hindi)

Ahmadiyyat Ka Paigham (Hindi) ल खक सय यदन हज़रत म र ज़ बश र द न महम द अहमद ख़ल फ़त ल मस ह मव त यरज़ I न म प सतक : अह मद यत क प ग़ म Name of book : Ahmadiyyat Ka Paigam ल खक : हज़रत म र ज़ बश र द न महम द अहमद ख़ल फ़त ल मस ह मव त यरज़ Writer :

अधिक जानकारी

Paigham-i-Sulh (Hindi)

Paigham-i-Sulh (Hindi) (म त र स द श) ल खक हज़रत म र ज़ ग़ ल म अहमद क़ द य न मस ह म ऊद व महद म ह द अल ह ससल म I न म प सतक : Name of book : Paigham-e-Sulh ल खक : हज़रत म र ज़ ग़ ल म अहमद स ह व महद म ऊद अल ह ससल म Writer : Hazrat Mirza

अधिक जानकारी

وا الر س و ل و ا و ل ع اہلل و ا ط ی وا ا ط ی ع ر م ن ک م ال م र एद द जलस द आ ज हज रत सय य द न व इम मन जन ब म र ज ग ल म अहमद स ह ब मस ह म ऊद-व-महद म 'ह

وا الر س و ل و ا و ل ع اہلل و ا ط ی وا ا ط ی ع ر م ن ک م ال م र एद द जलस द आ ज हज रत सय य द न व इम मन जन ब म र ज ग ल म अहमद स ह ब मस ह म ऊद-व-महद म 'ह وا الر س و ل و ا و ل ع اہلل و ا ط ی وا ا ط ی ع ر م ن ک م ال م र एद द जलस द आ ज हज रत सय य द न व इम मन जन ब म र ज ग ल म अहमद स ह ब मस ह म ऊद-व-महद म 'ह द क तहर क पर द र ल अम न क द य न म द न क 2 फरवर, 1900

अधिक जानकारी

Tazkirat-ush-Shahadatain (Hindi)

Tazkirat-ush-Shahadatain (Hindi) तज क रत शश ह दत न (द शह दत क वर णन) ल खक हज रत म र ज ग ल म अहमद स ह ब क द य न मस ह म ऊद व महद म ह द अल ह ससल म I न म प सतक : तज क रत शशह दत न Name of book : Tazkiratush Shahadatain ल खक : हज रत म ज ण ग

अधिक जानकारी

January

January 2015 Vol -18 Issue - 1 सम दक श ख म जल तहद अहमद शल सत र XXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXX उ सम दक म हममद नस र ल हक आचल य म फल र क अहमद स फ ट इ स वट ग आसमल ययबल ट इटल व ज़ इन आ महम द अबद ल ल ह म न जर नव द अहमद फ ल

अधिक जानकारी

Islam and the freedom of conscience (Hindi)

Islam and the freedom of conscience (Hindi) इस ल म और अभ व यक त क स वत त रतल नल म प सतक - Name of Book : खक - Written By : अन वल दक - Translated By : इस ल म और अभ व यक त क स वत त रतल Islam and the freedom of conscience हज रत भमज ल मसर र अहमद ख फ

अधिक जानकारी

Zakelijke correspondentie Bestelling Bestelling - Bestelling plaatsen Arabisch Formeel, voorzichtig ا ننا بصدد التفكير في اشتراء... Hindi हम आपस... खर

Zakelijke correspondentie Bestelling Bestelling - Bestelling plaatsen Arabisch Formeel, voorzichtig ا ننا بصدد التفكير في اشتراء... Hindi हम आपस... खर - plaatsen Formeel, voorzichtig ا ننا بصدد التفكير في اشتراء... हम आपस... खर दन च हत ह. يس ر نا ا ن نضع طلبي ة مع شركتك... हम आपक कम पन स... म गव न म द लचस प रखत ह. نود ا ن نضع طلبي ة. हम आप स क छ व य

अधिक जानकारी

May Shumara

May Shumara Vol -18 Issue - 5 समप दक श ख म जल तहद अहमद शल सत र XXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXX उप समप दक म हममद नस र ल हक आचल य म नव द अहमद फ ल ट इप स रट ग आसमल ययबल ट इटल र ज़ इन आ महम द अबद ल ल ह म न जर नव द अहमद फ ल क य

अधिक जानकारी

अपने बच्चे को पैगंबर की कहानी सुनाईए (पैगंबर की किशोरावस्था)

अपने बच्चे को पैगंबर की कहानी सुनाईए (पैगंबर की किशोरावस्था) अपन बच च क प ग बर क कह न स न ईए (प ग बर क कश र वस थ) ] هندي & Hindi [ हन द & स इट रस लल ल अन व द अत उ र हम न ज़य उल ल 2013-1434 احك لطفلك عن رسول االله ] شباب الرسول [» اللغة اهلندية «وقع نرصة رسول االله

अधिक जानकारी

ल ह य-अमल ( ख़ द म ल अहमद य क क र यक रम) और हर एक क ल ए एक लक ष य ह ज सक ओर वह धष यय न द तय ह अत न क कय म म एक द सर स आग बढ य ओ (अल -बक़र: 149) प रक शक

ल ह य-अमल ( ख़ द म ल अहमद य क क र यक रम) और हर एक क ल ए एक लक ष य ह ज सक ओर वह धष यय न द तय ह अत न क कय म म एक द सर स आग बढ य ओ (अल -बक़र: 149) प रक शक ल ह य-अमल ( ख़ द म ल अहमद य क क र यक रम) और हर एक क ल ए एक लक ष य ह ज सक ओर वह धष यय न द तय ह अत न क कय म म एक द सर स आग बढ य ओ (अल -बक़र: 149) प रक शक दफ तर मज लस ख़ द म ल अहमद य भ र त 2 ख़ द म (स वक) क अहद

अधिक जानकारी

ISSN: स ह य स हत Available at Volume 01 Issue 0 May 2015 ह द क वतर न क प रवतर न एम.आर.अय गर (

ISSN: स ह य स हत Available at   Volume 01 Issue 0 May 2015 ह द क वतर न क प रवतर न एम.आर.अय गर ( ह द क वतर न क प रवतर न एम.आर.अय गर (http://www.hindikunj.com/2014/12/the-spelling-of-hindi.html) आज क ह द वणर म ल न न न स र ह. चत र -1 इन वणर म ल ओ म अ,आ,ओ,औ,अ,अ,ख,छ,ण,ध,भ अक षर पर ग र क जए, आज इ ह उस

अधिक जानकारी

Rajab Aur Shabe Meiraj

Rajab Aur Shabe Meiraj रजब ओर शब म र ज Rajab and Shab-e-mei raj रसल अ सह ब ल ह رضي الله عنھकर म स ज क इ सव ल करत, सह ब कर म फ़म त "अ ल ह ओर उ क रसल ब तर ज त ह " यक़ न अ ल ह ओर उ क रसल ह ब तर ज त ह त आइय क़रआन ओर स नत क र शन म

अधिक जानकारी