Allah swt kahan hai

इसी तरह के दस्तावेज
वह एक नव मुस्लिम है और अपने पास कुत्ता रखना चाहती है

अल्लाह तआला हमारी दुआओं को क्यों नहीं स्वीकार करता ॽ

इस्लाम की सहिष्णुता

Zikr-e-ilahi (Hindi)

Khuda Taa'la ke Moujood Hone ke Das Pramaan

Jama'at Ahmadiyya Ke Aqaed - Hindi

Ahmadi Purushon Ko Swarnim Updesh

ईद के अहकाम और उसकी सुन्नतें

श न त क सन द श और एक चद त वन लद खक हज रत ह फ ज म र ज न स र अहमद ख ल फ त ल मस ह त त य रह.

Slide 1

मुसलमान लोग अल्लाह के ईश्दूत ईसा का जन्मदिवस क्यों नहीं मनाते जिस तरह कि वे अल्लाह के ईश्दूत मुहम्मद सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम का जन्मदिवस मनाते हैं?

Dawat ilallah Ki Ahmiyyat Aur Zarurat

Kashti Nooh (Hindi)

وا الر س و ل و ا و ل ع اہلل و ا ط ی وا ا ط ی ع ر م ن ک م ال م र एद द जलस द आ ज हज रत सय य द न व इम मन जन ब म र ज ग ल म अहमद स ह ब मस ह म ऊद-व-महद म 'ह

Batalwi our Chakdalwi ke Mubahasa par Review

दिन और रात की हज़ार सुन्नतें

Ismat-e-Anbiya (Hindi)

हो गई है पीर पर्वत-सी पिघलनी चाहिए – – दुष्यन्त कुमार,आओ! मगर ठहरो / निधि सक्सेना,कोशिश कर, हल निकलेगा (Anonymous),समर शेष है – रामध

Paigham-i-Sulh (Hindi)

Ahmadiyyat Ka Paigham (Hindi)

इसलाम में इबादत की शर्तें

January

Islam and the freedom of conscience (Hindi)

ल ह य-अमल ( ख़ द म ल अहमद य क क र यक रम) और हर एक क ल ए एक लक ष य ह ज सक ओर वह धष यय न द तय ह अत न क कय म म एक द सर स आग बढ य ओ (अल -बक़र: 149) प रक शक

May Shumara

पैगंबर मुहम्मद सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम पति के रूप में

Tazkirat-ush-Shahadatain (Hindi)

Sharu Ramzaan REVISED

Seerat-ul-Abdal (Hindi)

Zakelijke correspondentie Bestelling Bestelling - Bestelling plaatsen Arabisch Formeel, voorzichtig ا ننا بصدد التفكير في اشتراء... Hindi हम आपस... खर

Rajab Aur Shabe Meiraj

एक ईसाई पोर्क के निषेध होने के कारण के बारे में पूछ रहा है

प्रतिलिपि:

ب س م الله الرح م ن الرحی م Allah swt kahan hai? وإذ ا س ألك ع باد ى ع نى فإن ى قر یب ١٨٦ Aur jab sawal kere apse mere bande mere bare tu beshak main qareeb hoon Surah Baqarah ki is ayat se ye pata chalta hai ki Allah swt hamare qareeb hai tu kitne qareeb hai? Physically hamare aaspaas hain, ya ilm o qudrat ke itebar se hamare saath hai? Ek aur jagah Surah Qaaf me Allah talah ne Farmaya و نح ن أقر ب إل یھ م ن ح ب ل ٱل و ر ی د ١٦ Aur hum uski tarf Shahrag se bhi zyada qareeb hai Allah talah ne Surah Taha ayat 5 me apne bare bataya...

ٱلرح م ن ع لى ٱل عر ش اس تو ى ٥ " Rahman arsh per mustavi hai Arsh taqt ko kehte hai, Allah ke taqt ki haqeeqat hame maloom nahi yeh hamari sonch se pare hai, bus wo hai ab wo kaisa hai? Kitna hai? Allahualam Phir Allah swt hai kahan? Hamare aaspaas hai, qareeb hai, her jagah ya Arsh per? Hamara Aqeedah kya hona chahiye? Quran me Allah talah ne alg alg jagaho per apne bare me muqtalif alfaaz me bayan kiya, jaise Allah talah hamare saath hai, hamare qareeb hai aur Arsh per mustavi hai der haqeeqat hai kahan? Kisi bhi kalaam ko samjhne ke liye ye zaroori hai ke ham ye dekhe ke us zabaan me uska kya matlab liya Jata hai jaise hamari urdu zabaan/ language me Ager ham kisi ki madad ka wada karee tu ham kya kehte hai? Main tumhare saath hoon meri madad Hamesha tumhare saath hai yani tumper nazer rakhe hue hoon jab bhi zaroorat hogi tumhari madad ko tyar hoon. Ilm ke lihaz se bhi tumhare saath hoon tum per nazr hai main janta hoon aur qudrat ke aitebar se bhi main tumhari madad ker sakta hoon. Isi tarha Arbi zaban ka bhi yehi usool hai aur Quran Arbi me hi nazil hua.

Jab sawal hua ke Allah talah kahan hai tu Quran kehta Arsh per hai likin dusri tarf ye bhi kehta hai ke tumhare saath hai tu in dono me tadbik/apply aise hoga ke uski zaat Arsh per hai aur wo ilm o qudrat ke lihaz se her jagah maujood hai, hamare saath hai hame dekh bhi raha hai aur sun bhi raha hai. Allah talah ko her chez ka ilm hota hai jab bhi kisi bande ko uski zaroorat hoti hai chahe jitni bhi badi musibat ho ya hajaat Allah talah qudrat rakhte hai use poora kerne ki kyuke wo her cheez per qadir hai وھو على كل شي ء قد یر Allah! subhan Allah swt ne jab Musa(AS) aur Haroon(AS) ko firoun ke paas jane ka hukm diye tu wo ghabra rahe thy iska zikr Surah taha me ata hai ٤٦ م عك م قال ل تخ افآ إنن ى آ أس م ع و أر ى Allah talah ne Farmaya na tum dono daro beshak main tum dono ke saath hoon, main sunta aur main dekhta hoon. Isi tarha Surah A ala ki first ayat me Allah talah ne farmaya

سبح ٱس م ر بك ٱل ع ل ى " Tasbih kijiye name ki apne Rabb ke jo subse Buland hai. Yani Allah talah buland Arsh per hai, Quran ki kayi ayato se ye pata chalta hai ke Allah talah Arsh per hai aur Arsh se hi sari kayenaat ko control ker rahe hai jaise Surah Maarij-4, Surah Sajdah-5, Surah Mulk-16. Kuch Ahadees ke Mafhoom Ek dafa ek bandi (gulam ladki) Aap(saws) ke paas ayi Aapne pocha Allah talah kahan hai? Usne kaha Fis Sama a yani Aasman me hai pher pocha main koun hoon tu usne kaha Aap Allah ke rasool hai Aap(saws) ne uske malik ko use azaad kerne ka hukm diye ke wo imaan lane walo me se thi. Hajjatul wada ke mauqe per Aap (saws) ne Asmaan ki tarf ungli uthaker sahaba se daryat kiya kya maine Allah ka paigham tum tak pohcha diya, sahaba ne kaha haan tu Aapne apni shahadat ki ungli Asmaan ki tarf uthaker farmaya Ya Allah gawah rehna. Aap (saws) ne bahot bar qasam khate hua kaha qasam us zaat ki jo Arsh per hai.

Banda chahe kisi bhi mazhab ka ho, khushi ho ya gham jab bhi wo dua ke liye hath uthata hai to uski nazar Arsh ki taraf hi hoti hai kyunki bande ke nafs ka taluq arsh se hai aur wo connect hota hai Apne Rabb se jo Arsh par hai. Jazak Allahu khairan kaseerah Taleem ul Quran, level-1 Documentation task, Group-8, Team Tayyaba Submitted by Tayyaba Fatima